7
Ishkār kī Aulād
1 Ishkār ke chār beṭe Tolā, Fuwwā, Yasūb aur Simron the.
2 Tolā ke pāṅch beṭe Uzzī, Rifāyāh, Yariyel, Yahmī, Ibsām aur Samuel the. Sab apne ḳhāndānoṅ ke sarparast the. Nasabnāme ke mutābiq Dāūd ke zamāne meṅ Tolā ke ḳhāndān ke 22,600 afrād jang karne ke qābil the.
3 Uzzī kā beṭā Izraḳhiyāh thā jo apne chār bhāiyoṅ Mīkāel, Abadiyāh, Yoel aur Yissiyāh ke sāth ḳhāndānī sarparast thā.
4 Nasabnāme ke mutābiq un ke 36,000 afrād jang karne ke qābil the. In kī tādād is lie zyādā thī ki Uzzī kī aulād ke bahut bāl-bachche the.
5 Ishkār ke qabīle ke ḳhāndānoṅ ke kul 87,000 ādmī jang karne ke qābil the. Sab nasabnāme meṅ darj the.
Binyamīn aur Naftālī kī Aulād
6 Binyamīn ke tīn beṭe Bālā, Bakar aur Yadiyael the.
7 Bālā ke pāṅch beṭe Isbūn, Uzzī, Uzziyel, Yarīmot aur Īrī the. Sab apne ḳhāndānoṅ ke sarparast the. Un ke nasabnāme ke mutābiq un ke 22,034 mard jang karne ke qābil the.
8 Bakar ke 9 beṭe Zamīrā, Yuās, Iliyazar, Iliyuainī, Umrī, Yarīmot, Abiyāh, Anatot aur Alamat the.
9 Un ke nasabnāme meṅ un ke sarparast aur 20,200 jang karne ke qābil mard bayān kie gae haiṅ.
10 Bilhān bin Yadiyael ke sāt beṭe Yaūs, Binyamīn, Ahūd, Kanānā, Zaitān, Tarsīs aur Aḳhīsahar the.
11 Sab apne ḳhāndānoṅ ke sarparast the. Un ke 17,200 jang karne ke qābil mard the.
12 Suffī aur Huffī Īr kī aur Hushī Aḳhīr kī aulād the.
13 Naftālī ke chār beṭe Yahsiyel, Jūnī, Yisar aur Sallūm the. Sab Bilhāh kī aulād the.
Manassī kī Aulād
14 Manassī kī Arāmī dāshtā ke do beṭe Asriyel aur Jiliyād kā bāp Makīr paidā hue.
15 Makīr ne Huffiyoṅ aur Suffiyoṅ kī ek aurat se shādī kī. Bahan kā nām Mākā thā. Makīr ke dūsre beṭe kā nām Silāfihād thā jis ke hāṅ sirf beṭiyāṅ paidā huīṅ.
16 Makīr kī bīwī Mākā ke mazīd do beṭe Faras aur Sharas paidā hue. Sharas ke do beṭe Aulām aur Raqam the.
17 Aulām ke beṭe kā nām Bidān thā. Yihī Jiliyād bin Makīr bin Manassī kī aulād the.
18 Jiliyād kī bahan mūlikat ke tīn beṭe Ishhūd, Abiyazar aur Mahlāh the.
19 Samīdā ke chār beṭe Aḳhiyān, Sikam, Liqhī aur Aniyām the.
Ifrāīm kī Aulād
20 Ifrāīm ke hāṅ Sūtalah paidā huā, Sūtalah ke Barad, Barad ke Tahat Tahat ke Iliadā, Iliadā ke Tahat
21 Tahat ke Zabad aur Zabad ke Sūtalah.
Ifrāīm ke mazīd do beṭe Azar aur Iliad the. Yih do mard ek din Jāt gae tāki wahāṅ ke rewaṛ lūṭ leṅ. Lekin maqāmī logoṅ ne unheṅ pakaṛ kar mār ḍālā.
22 Un kā bāp Ifrāīm kāfī arse tak un kā mātam kartā rahā, aur us ke rishtedār us se milne āe tāki use tasallī deṅ.
23 Jab is ke bād us kī bīwī ke beṭā paidā huā to us ne us kā nām Bariyā yānī Musībat rakhā, kyoṅki us waqt ḳhāndān musībat meṅ ā gayā thā.
24 Ifrāīm kī beṭī sairā ne Bālāī aur Nashebī Bait-haurūn aur Uzzan-sairā ko banwāyā.
25 Ifrāīm ke mazīd do beṭe Rafah aur Rasaf the. Rasaf ke hāṅ Tilah paidā huā, Tilah ke Tahan,
26 Tahan ke Lādān, Lādān ke Ammīhūd, Ammīhūd ke Ilīsamā,
27 Ilīsamā ke Nūn, Nūn ke Yashua.
28 Ifrāīm kī aulād ke ilāqe meṅ zail ke maqām shāmil the: Baitel gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ samet, mashriq meṅ Nārān tak, maġhrib meṅ Jazar tak gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ samet, shimāl meṅ Sikam aur Aiyāh tak gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ samet.
29 Bait-shān, Tānak, Majiddo aur Dor gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ samet Manassī kī aulād kī milkiyat ban gae. In tamām maqāmoṅ meṅ Yūsuf bin Isrāīl kī aulād rahtī thī.
Āshar kī Aulād
30 Āshar ke chār beṭe Yimnā, Iswāh, Iswī aur Bariyā the. Un kī bahan Sirah thī.
31 Bariyā ke beṭe Hibar aur Birzāyt kā bāp Malkiyel the.
32 Hibar ke tīn beṭe Yaflīt, Shūmīr aur Ḳhūtām the. Un kī bahan Sua thī.
33 Yaflīt ke tīn beṭe Fāsak, Bimhāl aur Aswāt the.
34 Shūmīr ke chār beṭe Aḳhī, Rūhjā, Hubbā aur Arām the.
35 Us ke bhāī Hīlam ke chār beṭe Sūfah, Imnā, Salas aur Amal the.
36 Sūfah ke 11 beṭe Sūh, Harnafar, Suāl, Bairī, Imrāh,
37 Basar, Hūd, Sammā, Silsā, Yitrān aur Baīrā the.
38 Yatar ke tīn beṭe Yafunnā, Fisfāh aur Arā the.
39 Ullā ke tīn beṭe Araḳh, Hanniyel aur Riziyāh the.
40 Āshar ke darj-e-bālā tamām afrād apne apne ḳhāndānoṅ ke sarparast the. Sab chīdā mard, māhir faujī aur sardāroṅ ke sarbarāh the. Nasabnāme meṅ 26,000 jang karne ke qābil mard darj haiṅ.