8
Binyamīn kī Aulād
Binyamīn ke pāṅch beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak Bālā, Ashbel, Aḳhraḳh, Nūhā aur Rafā the.
Bālā ke beṭe Addār, Jīrā, Abīhūd, Abīsua, Nāmān, Aḳhūh, Jīrā, Safūfān aur Hūrām the.
6-7 Ahūd ke tīn beṭe Nāmān, Aḳhiyāh aur Jīrā the. Yih un ḳhāndānoṅ ke sarparast the jo pahle Jibā meṅ rahte the lekin jinheṅ bād meṅ jilāwatan karke Mānahat meṅ basāyā gayā. Uzzā aur Aḳhīhūd kā bāp Jīrā unheṅ wahāṅ le kar gayā thā.
8-9 Sahraim apnī do bīwiyoṅ Hushīm aur Bārā ko talāq de kar Moāb chalā gayā. Wahāṅ us kī bīwī Hūdas ke sāt beṭe Yūbāb, Zibiyā, Mesā, Malkām, 10 Yaūz, Sakiyāh aur Mirmā paidā hue. Sab bād meṅ apne ḳhāndānoṅ ke sarparast ban gae. 11 Pahlī bīwī Hushīm ke do beṭe Abītūb aur Ilfāl paidā hue.
12-14 Ilfāl ke āṭh beṭe Ibar, Mish'ām, Samad, Bariyā, Samā, Aḳhiyo, Shāshaq aur Yarīmot the. Samad Onū, Lūd aur gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ kā bānī thā. Bariyā aur Samā Aiyālon ke bāshindoṅ ke sarbarāh the. Unhīṅ ne Jāt ke bāshindoṅ ko nikāl diyā.
15-16 Bariyā ke beṭe Zabadiyāh, Arād, Idar, Mīkāel, Isfāh aur Yūḳhā the.
17 Ilfāl ke mazīd beṭe Zabadiyāh, Masullām, hizqī, Hibar, 18 Yismarī, Yizliyāh aur Yūbāb the.
19-21 Simaī ke beṭe Yaqīm, Zikrī, Zabdī, Iliyainī, Zillatī, Iliyel, Adāyāh, Birāyāh aur Simrāt the.
22-25 Shāshaq ke beṭe Isfān, Ibar, Iliyel, Abdon, Zikrī, Hanān, Hananiyāh, Ailām, Anatotiyāh, Yafdiyāh aur Fanuel the.
26-27 Yarohām ke beṭe Samsarī, Shahāriyāh, Ataliyāh, Yārasiyāh, Iliyās aur Zikrī the. 28 Yih tamām ḳhāndānī sarparast nasabnāme meṅ darj the aur Yarūshalam meṅ rahte the.
Jibaūn meṅ Sāūl kā Ḳhāndān
29 Jibaūn kā bāp Ya'iyel Jibaūn meṅ rahtā thā. Us kī bīwī kā nām Mākā thā. 30 Baṛe se le kar chhoṭe tak un ke beṭe Abdon, Sūr, Qīs, Bāl, Nadab, 31 Jadūr, Aḳhiyo, Zakar 32 aur Miqlot the. Miqlot kā beṭā Simāh thā. Wuh bhī apne rishtedāroṅ ke sāth Yarūshalam meṅ rahte the.
33 Nair Qīs kā bāp thā aur Qīs Sāūl kā. Sāūl ke chār beṭe Yūnatan, Malkīshua, Abīnadāb aur Ishbāl the.
34 Yūnatan Marībbāl kā bāp thā aur Marībbāl Mīkāh kā.
35 Mīkāh ke chār beṭe Fītūn, Malik, Tārīa aur Āḳhaz the.
36 Āḳhaz kā beṭā Yahuaddā thā jis ke tīn beṭe Alamat, Azmāwat aur Zimrī the. Zimrī ke hāṅ Mauzā paidā huā, 37 Mauzā ke Bin'ā, Bin'ā ke Rāfā, Rāfā ke Iliyāsā aur Iliyāsā ke Asīl.
38 Asīl ke chhih beṭe Azrīqām, Bokirū, Ismāīl, Sa'ariyāh, Abadiyāh aur Hanān the. 39 Asīl ke bhāī īshaq ke tīn beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak Aulām, Yaūs aur Ilīfalat the.
40 Aulām ke beṭe tajrabākār faujī the jo mahārat se tīr chalā sakte the. Un ke bahut-se beṭe aur pote the, kul 150 afrād. Tamām mazkūrā ādmī un ke ḳhāndānoṅ samet Binyamīn kī aulād the.