9
Jilāwatanī ke bād Yarūshalam ke Bāshinde
Tamām Isrāīl Shāhān-e-Isrāīl kī Kitāb ke nasabnāmoṅ meṅ darj hai.
Phir Yahūdāh ke bāshindoṅ ko bewafāī ke bāis Bābal meṅ jilāwatan kar diyā gayā. Jo log pahle wāpas ā kar dubārā shahroṅ meṅ apnī maurūsī zamīn par rahne lage wuh imām, Lāwī, Rab ke ghar ke ḳhidmatgār aur bāqī chand ek Isrāīlī the. Yahūdāh, Binyamīn, Ifrāīm aur Manassī ke qabīloṅ ke kuchh log Yarūshalam meṅ jā base.
Yahūdāh ke qabīle ke darj-e-zail ḳhāndānī sarparast wahāṅ ābād hue:
Ūtī bin Ammīhūd bin Umrī bin Imrī bin Bānī. Bānī Fāras bin Yahūdāh kī aulād meṅ se thā.
Sailā ke ḳhāndān kā pahlauṭhā Asāyāh aur us ke beṭe.
Zārah ke ḳhāndān kā Yaūel. Yahūdāh ke in ḳhāndānoṅ kī kul tādād 690 thī.
7-8 Binyamīn ke qabīle ke darj-e-zail ḳhāndānī sarparast Yarūshalam meṅ ābād hue:
Sallū bin Masullām bin Hūdāwiyāh bin Sanūsāh.
Ibniyāh bin Yarohām.
Ailā bin Uzzī bin Miqrī.
Masullām bin Safatiyāh bin Raūel bin Ibniyāh.
Nasabnāme ke mutābiq Binyamīn ke in ḳhāndānoṅ kī kul tādād 956 thī.
10 Jo imām jilāwatanī se wāpas ā kar Yarūshalam meṅ ābād hue wuh zail meṅ darj haiṅ:
Yadāyāh, Yahūyarīb, Yakīn, 11 Allāh ke ghar kā inchārj Azariyāh bin Ḳhilqiyāh bin Masullām bin Sadoq bin Mirāyot bin Aḳhītūb, 12 Adāyāh bin Yarohām bin Fashhūr bin Malkiyāh aur Māsī bin Adiyel bin Yahzīrāh bin Masullām bin Masillimit bin Immer. 13 Imāmoṅ ke in ḳhāndānoṅ kī kul tādād 1,760 thī. Un ke mard Rab ke ghar meṅ ḳhidmat saranjām dene ke qābil the.
14 Jo Lāwī jilāwatanī se wāpas ā kar Yarūshalam meṅ ābād hue wuh darj-e-zail haiṅ:
Mirārī ke ḳhāndān kā Samāyāh bin Hassūb bin Azrīqām bin Hasbiyāh, 15 Baqbaqqar, Haras, Jalāl, Mattaniyāh bin Mīkā bin Zikrī bin Āsaf, 16 Abadiyāh bin Samāyāh bin Jalāl bin Yadūtūn aur Barakiyāh bin Āsā bin Ilqānā. Barakiyāh Natūfātiyoṅ kī ābādiyoṅ kā rahne wālā thā.
17 Zail ke darbān bhī wāpas āe: Sallūm, Aqqūb, Talmūn, Aḳhīmān aur un ke bhāī. Sallūm un kā inchārj thā. 18 Āj tak us kā ḳhāndān Rab ke ghar ke mashriq meṅ Shāhī Darwāze kī pahrādārī kartā hai. Yih darbān Lāwiyoṅ ke ḳhaimoṅ ke afrād the. 19 Sallūm bin Qore bin Abiyāsaf bin Qorah apne bhāiyoṅ ke sāth Qorah ke ḳhāndān kā thā. Jis tarah un ke bāpdādā kī zimmedārī Rab kī ḳhaimāgāh meṅ mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze kī pahrādārī karnī thī usī tarah un kī zimmedārī maqdis ke darwāze kī pahrādārī karnī thī. 20 Qadīm zamāne meṅ Fīnhās bin Iliyazar un par muqarrar thā, aur Rab us ke sāth thā. 21 Bād meṅ Zakariyāh bin Masalamiyāh mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze kā darbān thā.
22 Kul 212 mardoṅ ko darbān kī zimmedārī dī gaī thī. Un ke nām un kī maqāmī jaghoṅ ke nasabnāme meṅ darj the. Dāūd aur Samuel Ġhaibbīn ne un ke bāpdādā ko yih zimmedārī dī thī. 23 Wuh aur un kī aulād pahle Rab ke ghar yānī mulāqāt ke ḳhaime ke darwāzoṅ par pahrādārī karte the. 24 Yih darbān Rab ke ghar ke chāroṅ taraf ke darwāzoṅ kī pahrādārī karte the.
25 Lāwī ke aksar log Yarūshalam meṅ nahīṅ rahte the balki bārī bārī ek hafte ke lie dehāt se Yarūshalam āte the tāki wahāṅ apnī ḳhidmat saranjām deṅ. 26 Sirf darbānoṅ ke chār inchārj musalsal Yarūshalam meṅ rahte the. Yih chār Lāwī Allāh ke ghar ke kamroṅ aur ḳhazānoṅ ko bhī saṅbhālte 27 aur rāt ko bhī Allāh ke ghar ke irdgird guzārte the, kyoṅki unhīṅ ko us kī hifāzat karnā aur subah ke waqt us ke darwāzoṅ ko kholnā thā.
28 Bāz darbān ibādat kā sāmān saṅbhālte the. Jab bhī use istemāl ke lie andar aur bād meṅ dubārā bāhar lāyā jātā to wuh har chīz ko gin kar chaik karte the. 29 Bāz bāqī sāmān aur maqdis meṅ maujūd chīzoṅ ko saṅbhālte the. Rab ke ghar meṅ mustāmal bārīk maidā, mai, zaitūn kā tel, baḳhūr aur balsān ke muḳhtalif tel bhī in meṅ shāmil the. 30 Lekin balsān ke teloṅ ko taiyār karnā imāmoṅ kī zimmedārī thī. 31 Qorah ke ḳhāndān kā Lāwī Mattitiyāh jo Sallūm kā pahlauṭhā thā qurbānī ke lie mustāmal roṭī banāne kā intazām chalātā thā. 32 Qihāt ke ḳhāndān ke bāz Lāwiyoṅ ke hāth meṅ wuh roṭiyāṅ banāne kā intazām thā jo har hafte ke din ko Rab ke lie maḳhsūs karke Rab ke ghar ke Muqaddas Kamre kī mez par rakhī jātī thīṅ.
33 Mausīqār bhī Lāwī the. Un ke sarbarāh bāqī tamām ḳhidmat meṅ hissā nahīṅ lete the, kyoṅki unheṅ har waqt apnī hī ḳhidmat saranjām dene ke lie taiyār rahnā paṛtā thā. Is lie wuh Rab ke ghar ke kamroṅ meṅ rahte the.
34 Lāwiyoṅ ke yih tamām ḳhāndānī sarparast nasabnāme meṅ darj the aur Yarūshalam meṅ rahte the.
Jibaūn meṅ Sāūl ke Ḳhāndān
35 Jibaūn kā bāp Ya'iyel Jibaūn meṅ rahtā thā. Us kī bīwī kā nām Mākā thā. 36 Baṛe se le kar chhoṭe tak un ke beṭe Abdon, Sūr, Qīs, Bāl, Nair, Nadab, 37 Jadūr, Aḳhiyo, Zakariyāh aur Miqlot the. 38 Miqlot kā beṭā Simāh thā. Wuh bhī apne bhāiyoṅ ke muqābil Yarūshalam meṅ rahte the.
39 Nair Qīs kā bāp thā aur Qīs Sāūl kā. Sāūl ke chār beṭe Yūnatan, Malkīshua, Abīnadāb aur Ishbāl the.
40 Yūnatan Marībbāl kā bāp thā aur Marībbāl Mīkāh kā. 41 Mīkāh ke chār beṭe Fītūn, Malik, Tahrea aur Āḳhaz the. 42 Āḳhaz kā beṭā Yārā thā. Yārā ke tīn beṭe Alamat, Azmāwat aur Zimrī the. Zimrī ke hāṅ Mauzā paidā huā, 43 Mauzā ke Bin'ā, banā ke Rifāyāh, Rifāyāh ke Iliyāsā aur Iliyāsā ke Asīl.
44 Asīl ke chhih beṭe Azrīqām, Bokirū, Ismāīl, Sa'ariyāh, Abadiyāh aur Hanān the.