36
Yahūdāh kā Bādshāh Yahuāḳhaz
Ummat ne Yūsiyāh ke beṭe Yahuāḳhaz ko bāp ke taḳht par biṭhā diyā. Yahuāḳhaz 23 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur Yarūshalam meṅ us kī hukūmat kā daurāniyā tīn māh thā. Phir Misr ke bādshāh ne use taḳht se utār diyā, aur Mulk-e-Yahūdāh ko taqrīban 3,400 kilogrām chāṅdī aur 34 kilogrām sonā ḳharāj ke taur par adā karnā paṛā. Misr ke bādshāh ne Yahuāḳhaz ke sage bhāī Iliyāqīm ko Yahūdāh aur Yarūshalam kā nayā bādshāh banā kar us kā nām Yahūyaqīm meṅ badal diyā. Yahuāḳhaz ko wuh qaid karke apne sāth Misr le gayā.
Yahūdāh kā Bādshāh Yahūyaqīm
Yahūyaqīm 25 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur Yarūshalam meṅ rah kar wuh 11 sāl tak hukūmat kartā rahā. Us kā chāl-chalan Rab us ke Ḳhudā ko nāpasand thā. Ek din Bābal ke Nabūkadnazzar ne Yahūdāh par hamlā kiyā aur Yahūyaqīm ko pītal kī zanjīroṅ meṅ jakaṛ kar Bābal le gayā. Nabūkadnazzar Rab ke ghar kī kaī qīmtī chīzeṅ bhī chhīn kar apne sāth Bābal le gayā aur wahāṅ apne mandir meṅ rakh dīṅ.
Bāqī jo kuchh Yahūyaqīm kī hukūmat ke daurān huā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh-o-Isrāīl’ kī kitāb meṅ darj hai. Wahāṅ yih bayān kiyā gayā hai ki us ne kaisī ghinaunī harkateṅ kīṅ aur ki kyā kuchh us ke sāth huā. Us ke bād us kā beṭā Yahūyākīn taḳhtnashīn huā.
Yahūyākīn kī Hukūmat
Yahūyākīn 18 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur Yarūshalam meṅ us kī hukūmat kā daurāniyā tīn māh aur das din thā. Us kā chāl-chalan Rab ko nāpasand thā. 10 Bahār ke mausam meṅ Nabūkadnazzar Bādshāh ne hukm diyā ki use giriftār karke Bābal le jāyā jāe. Sāth sāth faujiyoṅ ne Rab ke ghar kī qīmtī chīzeṅ bhī chhīn kar Bābal pahuṅchāīṅ. Yahūyākīn kī jagah Nabūkadnazzar ne Yahūyākīn ke chachā Sidqiyāh ko Yahūdāh aur Yarūshalam kā bādshāh banā diyā.
Sidqiyāh Bādshāh aur Yarūshalam kī Tabāhī
11 Sidqiyāh 21 sāl kī umr meṅ taḳhtnashīn huā, aur Yarūshalam meṅ us kī hukūmat kā daurāniyā 11 sāl thā. 12 Us kā chāl-chalan Rab us ke Ḳhudā ko nāpasand thā. Jab Yarmiyāh Nabī ne use Rab kī taraf se āgāh kiyā to us ne apne āp ko nabī ke sāmne past na kiyā. 13 Sidqiyāh ko Allāh kī qasam khā kar Nabūkadnazzar Bādshāh kā wafādār rahne kā wādā karnā paṛā. To bhī wuh kuchh der ke bād sarkash ho gayā. Wuh aṛ gayā, aur us kā dil itnā saḳht ho gayā ki wuh Rab Isrāīl ke Ḳhudā kī taraf dubārā rujū karne ke lie taiyār nahīṅ thā.
14 Lekin Yahūdāh ke rāhnumāoṅ, imāmoṅ aur qaum kī bewafāī bhī baṛhtī gaī. Paṛosī qaumoṅ ke ghinaune rasm-o-riwāj apnā kar unhoṅ ne Rab ke ghar ko nāpāk kar diyā, go us ne Yarūshalam meṅ yih imārat apne lie maḳhsūs kī thī.
15 Bār bār Rab un ke bāpdādā kā Ḳhudā apne paiġhambaroṅ ko un ke pās bhej kar unheṅ samjhātā rahā, kyoṅki use apnī qaum aur sukūnatgāh par tars ātā thā. 16 Lekin logoṅ ne Allāh ke paiġhambaroṅ kā mazāq uṛāyā, un ke paiġhām haqīr jāne aur nabiyoṅ ko lān-tān kī. Āḳhirkār Rab kā ġhazab un par nāzil huā, aur bachne kā koī rāstā na rahā. 17 Us ne Bābal ke bādshāh Nabūkadnazzar ko un ke ḳhilāf bhejā to dushman Yahūdāh ke jawānoṅ ko talwār se qatl karne ke lie maqdis meṅ ghusne se bhī na jhijke. Kisī par bhī rahm na kiyā gayā, ḳhāh jawān mard yā jawān ḳhātūn, ḳhāh buzurg yā umrrasīdā ho. Rab ne sab ko Nabūkadnazzar ke hawāle kar diyā. 18 Nabūkadnazzar ne Allāh ke ghar kī tamām chīzeṅ chhīn līṅ, ḳhāh wuh baṛī thīṅ yā chhoṭī. Wuh Rab ke ghar, bādshāh aur us ke ālā afsaroṅ ke tamām ḳhazāne bhī Bābal le gayā. 19 Faujiyoṅ ne Rab ke ghar aur tamām mahaloṅ ko jalā kar Yarūshalam kī fasīl ko girā diyā. Jitnī bhī qīmtī chīzeṅ rah gaī thīṅ wuh tabāh huīṅ. 20 Aur jo talwār se bach gae the unheṅ Bābal kā bādshāh qaid karke apne sāth Bābal le gayā. Wahāṅ unheṅ us kī aur us kī aulād kī ḳhidmat karnī paṛī. Un kī yih hālat us waqt tak jārī rahī jab tak Fārsī qaum kī saltanat shurū na huī.
21 Yoṅ wuh kuchh pūrā huā jis kī peshgoī Rab ne Yarmiyāh Nabī kī mārifat kī thī, kyoṅki zamīn ko āḳhirkār Sabat kā wuh ārām mil gayā jo bādshāhoṅ ne use nahīṅ diyā thā. Jis tarah nabī ne kahā thā, ab zamīn 70 sāl tak tabāh aur wīrān rahī.
Jilāwatanī se Wāpasī
22 Fāras ke bādshāh Ḳhoras kī hukūmat ke pahle sāl meṅ Rab ne wuh kuchh pūrā hone diyā jis kī peshgoī us ne Yarmiyāh kī mārifat kī thī. Us ne Ḳhoras ko zail kā elān karne kī tahrīk dī. Yih elān zabānī aur tahrīrī taur par pūrī bādshāhī meṅ kiyā gayā.
23 “Fāras kā bādshāh Ḳhoras farmātā hai, Rab āsmān ke Ḳhudā ne duniyā ke tamām mamālik mere hawāle kar die haiṅ. Us ne mujhe Yahūdāh ke shahr Yarūshalam meṅ us ke lie ghar banāne kī zimmedārī dī hai. Āp meṅ se jitne us kī qaum ke haiṅ Yarūshalam ke lie rawānā ho jāeṅ. Rab āp kā Ḳhudā āp ke sāth ho.”