4
Qurbāngāh aur Samundar Nāmī Hauz
Sulemān ne pītal kī ek qurbāngāh bhī banwāī jis kī lambāī 30 fuṭ, chauṛāī 30 fuṭ aur ūṅchāī 15 fuṭ thī.
Is ke bād us ne pītal kā baṛā gol hauz ḍhalwāyā jis kā nām ‘Samundar’ rakhā gayā. Us kī ūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ, us kā muṅh 15 fuṭ chauṛā aur us kā gherā taqrīban 45 fuṭ thā. Hauz ke kināre ke nīche bailoṅ kī do qatāreṅ thīṅ. Fī fuṭ taqrīban 6 bail the. Bail aur hauz mil kar ḍhāle gae the. Hauz ko bailoṅ ke 12 mujassamoṅ par rakhā gayā. Tīn bailoṅ kā ruḳh shimāl kī taraf, tīn kā ruḳh maġhrib kī taraf, tīn kā ruḳh junūb kī taraf aur tīn kā ruḳh mashriq kī taraf thā. Un ke pichhle hisse hauz kī taraf the, aur hauz un ke kandhoṅ par paṛā thā. Hauz kā kinārā pyāle balki sosan ke phūl kī tarah bāhar kī taraf muṛā huā thā. Us kī dīwār taqrīban tīn inch moṭī thī, aur hauz meṅ pānī ke taqrīban 66,000 liṭar samā jāte the.
Sulemān ne 10 bāsan ḍhalwāe. Pāṅch ko Rab ke ghar ke dāeṅ hāth aur pāṅch ko us ke bāeṅ hāth khaṛā kiyā gayā. In bāsanoṅ meṅ gosht ke wuh ṭukṛe dhoe jāte jinheṅ bhasm hone wālī qurbānī ke taur par jalānā thā. Lekin ‘Samundar’ nāmī hauz imāmoṅ ke istemāl ke lie thā. Us meṅ wuh nahāte the.
Sone ke Shamādān aur Mezeṅ
Sulemān ne sone ke 10 shamādān muqarrarā tafsīlāt ke mutābiq banwā kar Rab ke ghar meṅ rakh die, pāṅch ko dāīṅ taraf aur pāṅch ko bāīṅ taraf. Das mezeṅ bhī banā kar Rab ke ghar meṅ rakhī gaīṅ, pāṅch ko dāīṅ taraf aur pāṅch ko bāīṅ taraf. In chīzoṅ ke alāwā Sulemān ne chhiṛkāw ke sone ke 100 kaṭore banwāe.
Sahan
Phir Sulemān ne wuh andarūnī sahan banwāyā jis meṅ sirf imāmoṅ ko dāḳhil hone kī ijāzat thī. Us ne baṛā sahan bhī us ke darwāzoṅ samet banwāyā. Darwāzoṅ ke kiwāṛoṅ par pītal chaṛhāyā gayā. 10 ‘Samundar’ nāmī hauz ko sahan ke junūb-mashriq meṅ rakhā gayā.
Us Sāmān kī Fahrist Jo Hīrām ne Taiyār Kiyā
11 Hīrām ne bāsan, belche aur chhiṛkāw ke kaṭore bhī banāe. Yoṅ us ne Allāh ke ghar meṅ wuh sārā kām mukammal kiyā jis ke lie Sulemān Bādshāh ne use bulāyā thā. Us ne zail kī chīzeṅ banāīṅ:
12 do satūn,
satūnoṅ par lage pyālānumā bālāī hisse,
bālāī hissoṅ par lagī zanjīroṅ kā ḍizāyn,
13 zanjīroṅ ke ūpar lage anār (fī bālāī hissā 200 adad),
14 hathgāṛiyāṅ,
in par ke pānī ke bāsan,
15 hauz banām Samundar,
ise uṭhāne wāle bail ke 12 mujassame,
16 bālṭiyāṅ, belche, gosht ke kāṅṭe.
Tamām sāmān jo Hīrām-abī ne Sulemān ke hukm par Rab ke ghar ke lie banāyā pītal se ḍhāl kar pālish kiyā gayā thā. 17 Bādshāh ne use Wādī-e-Yardan meṅ Sukkāt aur Zartān ke darmiyān ḍhalwāyā. Wahāṅ ek faunḍarī thī jahāṅ Hīrām ne gāre se sāṅche banā kar har chīz ḍhāl dī. 18 Is sāmān ke lie Sulemān Bādshāh ne itnā zyādā pītal istemāl kiyā ki us kā kul wazn mālūm na ho sakā.
Rab ke Ghar ke Andar Sone kā Sāmān
19 Allāh ke ghar ke andar ke lie Sulemān ne darj-e-zail sāmān banwāyā:
sone kī qurbāngāh,
sone kī wuh mezeṅ jin par Rab ke lie maḳhsūs roṭiyāṅ paṛī rahtī thīṅ,
20 ḳhālis sone ke wuh shamādān aur charāġh jin ko qawāyd ke mutābiq Muqaddastarīn Kamre ke sāmne jalnā thā,
21 ḳhālis sone ke wuh phūl jin se shamādān ārāstā the,
ḳhālis sone ke charāġh aur battī ko bujhāne ke auzār,
22 charāġh ko katarne ke ḳhālis sone ke auzār, chhiṛkāw ke ḳhālis sone ke kaṭore aur pyāle,
jalte hue koele ke lie ḳhālis sone ke bartan,
Muqaddastarīn Kamre aur baṛe hāl ke darwāze.