5
Rab ke ghar kī takmīl par Sulemān ne wuh sonā-chāṅdī aur bāqī tamām qīmtī chīzeṅ Rab ke ghar ke ḳhazānoṅ meṅ rakhwā dīṅ jo us ke bāp Dāūd ne Allāh ke lie maḳhsūs kī thīṅ.
Ahd kā Sandūq Rab ke Ghar meṅ Lāyā Jātā Hai
Phir Sulemān ne Isrāīl ke tamām buzurgoṅ aur qabīloṅ aur kunboṅ ke tamām sarparastoṅ ko apne pās Yarūshalam meṅ bulāyā, kyoṅki Rab ke ahd kā sandūq ab tak Yarūshalam ke us hisse meṅ thā jo ‘Dāūd kā Shahr’ yā Siyyūn kahlātā hai. Sulemān chāhtā thā ki qaum ke numāinde hāzir hoṅ jab sandūq ko wahāṅ se Rab ke ghar meṅ pahuṅchāyā jāe. Chunāṅche Isrāīl ke tamām mard sāl ke sātweṅ mahīne * meṅ bādshāh ke pās Yarūshalam meṅ jamā hue. Isī mahīne meṅ Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd manāī jātī thī.
Jab sab jamā hue to Lāwī Rab ke sandūq ko uṭhā kar Rab ke ghar meṅ lāe. Imāmoṅ ke sāth mil kar unhoṅ ne mulāqāt ke ḳhaime ko bhī us ke tamām muqaddas sāmān samet Rab ke ghar meṅ pahuṅchāyā. Wahāṅ sandūq ke sāmne Sulemān Bādshāh aur bāqī tamām jamāshudā Isrāīliyoṅ ne itnī bheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail qurbān kie ki un kī tādād ginī nahīṅ jā saktī thī.
Imāmoṅ ne Rab ke ahd kā sandūq pichhle yānī Muqaddastarīn Kamre meṅ lā kar karūbī farishtoṅ ke paroṅ ke nīche rakh diyā. Farishtoṅ ke par pūre sandūq par us kī uṭhāne kī lakaṛiyoṅ samet phaile rahe. To bhī uṭhāne kī yih lakaṛiyāṅ itnī lambī thīṅ ki un ke sire sāmne wāle yānī Muqaddas Kamre se nazar āte the. Lekin wuh bāhar se dekhe nahīṅ jā sakte the. Āj tak wuh wahīṅ maujūd haiṅ. 10 Sandūq meṅ sirf patthar kī wuh do taḳhtiyāṅ thīṅ jin ko Mūsā ne Horib yānī Koh-e-Sīnā ke dāman meṅ us meṅ rakh diyā thā, us waqt jab Rab ne Misr se nikle hue Isrāīliyoṅ ke sāth ahd bāndhā thā. 11 Phir imām Muqaddas Kamre se nikal kar sahan meṅ āe.
Jitne imām āe the un sab ne apne āp ko pāk-sāf kiyā huā thā, ḳhāh us waqt un ke guroh kī Rab ke ghar meṅ ḍyūṭī thī yā nahīṅ. 12 Lāwiyoṅ ke tamām gulūkār bhī hāzir the. Un ke rāhnumā Āsaf, Haimān aur Yadūtūn apne beṭoṅ aur rishtedāroṅ samet sab bārīk katān ke libās pahne hue qurbāngāh ke mashriq meṅ khaṛe the. Wuh jhāṅjh, sitār aur sarod bajā rahe the, jabki un ke sāth 120 imām turam phūṅk rahe the. 13 Gāne wāle aur turam bajāne wāle mil kar Rab kī satāish kar rahe the. Turamoṅ, jhāṅjhoṅ aur bāqī sāzoṅ ke sāth unhoṅ ne buland āwāz se Rab kī tamjīd meṅ gīt gāyā, “Wuh bhalā hai, aur us kī shafqat abadī hai.”
Tab Rab kā ghar ek bādal se bhar gayā. 14 Imām Rab ke ghar meṅ apnī ḳhidmat anjām na de sake, kyoṅki Allāh kā ghar us ke jalāl ke bādal se māmūr ho gayā thā.
* 5:3 Sitambar tā Aktūbar.