6
1 Yih dekh kar Sulemān ne duā kī, “Rab ne farmāyā hai ki maiṅ ghane bādal ke andhere meṅ rahūṅgā.
2 Maiṅ ne tere lie azīm sukūnatgāh banāī hai, ek maqām jo terī abadī sukūnat ke lāyq hai.”
Rab ke Ghar kī Maḳhsūsiyat par Sulemān kī Taqrīr
3 Phir bādshāh ne muṛ kar Rab ke ghar ke sāmne khaṛī Isrāīl kī pūrī jamāt kī taraf ruḳh kiyā. Us ne unheṅ barkat de kar kahā,
4 “Rab Isrāīl ke Ḳhudā kī tārīf ho jis ne wuh wādā pūrā kiyā hai jo us ne mere bāp Dāūd se kiyā thā. Kyoṅki us ne farmāyā,
5 ‘Jis din maiṅ apnī qaum ko Misr se nikāl lāyā us din se le kar āj tak maiṅ ne na kabhī farmāyā ki Isrāīlī qabīloṅ ke kisī shahr meṅ mere nām kī tāzīm meṅ ghar banāyā jāe, na kisī ko merī qaum Isrāīl par hukūmat karne ke lie muqarrar kiyā.
6 Lekin ab maiṅ ne Yarūshalam ko apne nām kī sukūnatgāh aur Dāūd ko apnī qaum Isrāīl kā bādshāh banāyā hai.’
7 Mere bāp Dāūd kī baṛī ḳhāhish thī ki Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke nām kī tāzīm meṅ ghar banāe.
8 Lekin Rab ne etarāz kiyā, ‘Maiṅ ḳhush hūṅ ki tū mere nām kī tāzīm meṅ ghar tāmīr karnā chāhtā hai,
9 lekin tū nahīṅ balki terā beṭā hī use banāegā.’
10 Aur wāqaī, Rab ne apnā wādā pūrā kiyā hai. Maiṅ Rab ke wāde ke ain mutābiq apne bāp Dāūd kī jagah Isrāīl kā bādshāh ban kar taḳht par baiṭh gayā hūṅ. Aur ab maiṅ ne Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke nām kī tāzīm meṅ ghar bhī banāyā hai.
11 Us meṅ maiṅ ne wuh sandūq rakh diyā hai jis meṅ sharīat kī taḳhtiyāṅ paṛī haiṅ, us ahd kī taḳhtiyāṅ jo Rab ne Isrāīliyoṅ se bāndhā thā.”
Rab ke Ghar kī Maḳhsūsiyat par Sulemān kī Duā
12 Phir Sulemān ne Isrāīl kī pūrī jamāt ke deḳhte deḳhte Rab kī qurbāngāh ke sāmne khaṛe ho kar apne hāth āsmān kī taraf uṭhāe.
13 Us ne is mauqe ke lie pītal kā ek chabūtarā banwā kar use bairūnī sahan ke bīch meṅ rakhwā diyā thā. Chabūtarā sāṛhe 7 fuṭ lamb, sāṛhe 7 fuṭ chauṛā aur sāṛhe 4 fuṭ ūṅchā thā. Ab Sulemān us par chaṛh kar pūrī jamāt ke deḳhte deḳhte jhuk gayā. Apne hāthoṅ ko āsmān kī taraf uṭhā kar
14 us ne duā kī,
“Ai Rab Isrāīl ke Ḳhudā, tujh jaisā koī Ḳhudā nahīṅ hai, na āsmān aur na zamīn par. Tū apnā wuh ahd qāym rakhtā hai jise tū ne apnī qaum ke sāth bāndhā hai aur apnī mehrbānī un sab par zāhir kartā hai jo pūre dil se terī rāh par chalte haiṅ.
15 Tū ne apne ḳhādim Dāūd se kiyā huā wādā pūrā kiyā hai. Jo bāt tū ne apne muṅh se mere bāp se kī wuh tū ne apne hāth se āj hī pūrī kī hai.
16 Ai Rab Isrāīl ke Ḳhudā, ab apnī dūsrī bāt bhī pūrī kar jo tū ne apne ḳhādim Dāūd se kī thī. Kyoṅki tū ne mere bāp se wādā kiyā thā, ‘Agar terī aulād terī tarah apne chāl-chalan par dhyān de kar merī sharīat ke mutābiq mere huzūr chaltī rahe to Isrāīl par us kī hukūmat hameshā tak qāym rahegī.’
17 Ai Rab Isrāīl ke Ḳhudā, ab barāh-e-karm apnā yih wādā pūrā kar jo tū ne apne ḳhādim Dāūd se kiyā hai.
18 Lekin kyā Allāh wāqaī zamīn par insān ke darmiyān sukūnat karegā? Nahīṅ, tū to bulandtarīn āsmān meṅ bhī samā nahīṅ saktā! To phir yih makān jo maiṅ ne banāyā hai kis tarah terī sukūnatgāh ban saktā hai?
19 Ai Rab mere Ḳhudā, to bhī apne ḳhādim kī duā aur iltijā sun jab maiṅ tere huzūr pukārte hue iltamās kartā hūṅ
20 ki barāh-e-karm din rāt is imārat kī nigarānī kar! Kyoṅki yih wuh jagah hai jis ke bāre meṅ tū ne ḳhud farmāyā, ‘Yahāṅ merā nām sukūnat karegā.’ Chunāṅche apne ḳhādim kī guzārish sun jo maiṅ is maqām kī taraf ruḳh kie hue kartā hūṅ.
21 Jab ham is maqām kī taraf ruḳh karke duā kareṅ to apne ḳhādim aur apnī qaum kī iltijāeṅ sun. Āsmān par apne taḳht se hamārī sun. Aur jab sunegā to hamāre gunāhoṅ ko muāf kar!
22 Agar kisī par ilzām lagāyā jāe aur use yahāṅ terī qurbāngāh ke sāmne lāyā jāe tāki halaf uṭhā kar wādā kare ki maiṅ bequsūr hūṅ
23 to barāh-e-karm āsmān par se sun kar apne ḳhādimoṅ kā insāf kar. Qusūrwār ko sazā de kar us ke apne sar par wuh kuchh āne de jo us se sarzad huā hai, aur bequsūr ko be'ilzām qarār de aur us kī rāstbāzī kā badlā de.
24 Ho saktā hai kisī waqt terī qaum Isrāīl terā gunāh kare aur natīje meṅ dushman ke sāmne shikast khāe. Agar Isrāīlī āḳhirkār tere pās lauṭ āeṅ aur tere nām kī tamjīd karke yahāṅ is ghar meṅ tere huzūr duā aur iltamās kareṅ
25 to āsmān par se un kī fariyād sun lenā. Apnī qaum Isrāīl kā gunāh muāf karke unheṅ dubārā us mulk meṅ wāpas lānā jo tū ne unheṅ aur un ke bāpdādā ko de diyā thā.
26 Ho saktā hai Isrāīlī terā itnā sangīn gunāh kareṅ ki kāl paṛe aur baṛī der tak bārish na barse. Agar wuh āḳhirkār is ghar kī taraf ruḳh karke tere nām kī tamjīd kareṅ aur terī sazā ke bāis apnā gunāh chhoṛ kar lauṭ āeṅ
27 to āsmān par se un kī fariyād sun lenā. Apne ḳhādimoṅ aur apnī qaum Isrāīl ko muāf kar, kyoṅki tū hī unheṅ achchhī rāh kī tālīm detā hai. Tab us mulk par dubārā bārish barsā de jo tū ne apnī qaum ko mīrās meṅ de diyā hai.
28 Ho saktā hai Isrāīl meṅ kāl paṛ jāe, anāj kī fasal kisī bīmārī, phaphūṅdī, ṭiḍḍiyoṅ yā kīṛoṅ se muta'assir ho jāe, yā dushman kisī shahr kā muhāsarā kare. Jo bhī musībat yā bīmārī ho,
29 agar koī Isrāīlī yā terī pūrī qaum us kā sabab jān kar apne hāthoṅ ko is ghar kī taraf baṛhāe aur tujh se iltamās kare
30 to āsmān par apne taḳht se un kī fariyād sun lenā. Unheṅ muāf karke har ek ko us kī tamām harkatoṅ kā badlā de, kyoṅki sirf tū hī har insān ke dil ko jāntā hai.
31 Phir jitnī der wuh us mulk meṅ zindagī guzāreṅge jo tū ne hamāre bāpdādā ko diyā thā utnī der wuh terā ḳhauf mān kar terī rāhoṅ par chalte raheṅge.
32 Āindā pardesī bhī tere azīm nām, terī baṛī qudrat aur tere zabardast kāmoṅ ke sabab se āeṅge aur is ghar kī taraf ruḳh karke duā kareṅge. Agarche wuh terī qaum Isrāīl ke nahīṅ hoṅge
33 to bhī āsmān par se un kī fariyād sun lenā. Jo bhī darḳhāst wuh pesh kareṅ wuh pūrī karnā tāki duniyā kī tamām aqwām terā nām jān kar terī qaum Isrāīl kī tarah hī terā ḳhauf māneṅ aur jān leṅ ki jo imārat maiṅ ne tāmīr kī hai us par tere hī nām kā ṭhappā lagā hai.
34 Ho saktā hai terī qaum ke mard terī hidāyat ke mutābiq apne dushman se laṛne ke lie nikleṅ. Agar wuh tere chune hue shahr aur us imārat kī taraf ruḳh karke duā kareṅ jo maiṅ ne tere nām ke lie tāmīr kī hai
35 to āsmān par se un kī duā aur iltamās sun kar un ke haq meṅ insāf qāym rakhnā.
36 Ho saktā hai wuh terā gunāh kareṅ, aisī harkateṅ to ham sab se sarzad hotī rahtī haiṅ, aur natīje meṅ tū nārāz ho kar unheṅ dushman ke hawāle kar de jo unheṅ qaid karke kisī dūr-darāz yā qarībī mulk meṅ le jāe.
37 Shāyad wuh jilāwatanī meṅ taubā karke dubārā terī taraf rujū kareṅ aur tujh se iltamās kareṅ, ‘Ham ne gunāh kiyā hai, ham se ġhaltī huī hai, ham ne bedīn harkateṅ kī haiṅ.’
38 Agar wuh aisā karke apnī qaid ke mulk meṅ apne pūre dil-o-jān se dubārā terī taraf rujū kareṅ aur terī taraf se bāpdādā ko die gae mulk, tere chune hue shahr aur us imārat kī taraf ruḳh karke duā kareṅ jo maiṅ ne tere nām ke lie tāmīr kī hai
39 to āsmān par apne taḳht se un kī duā aur iltamās sun lenā. Un ke haq meṅ insāf qāym karnā, aur apnī qaum ke gunāhoṅ ko muāf kar denā.
40 Ai mere Ḳhudā, terī āṅkheṅ aur tere kān un duāoṅ ke lie khule raheṅ jo is jagah par kī jātī haiṅ.
41 Ai Rab Ḳhudā, uṭh kar apnī ārāmgāh ke pās ā, tū aur ahd kā sandūq jo terī qudrat kā izhār hai. Ai Rab Ḳhudā, tere imām najāt se mulabbas ho jāeṅ, aur tere īmāndār terī bhalāī kī ḳhushī manāeṅ.
42 Ai Rab Ḳhudā, apne masah kie hue ḳhādim ko radd na kar balki us shafqat ko yād kar jo tū ne apne ḳhādim Dāūd par kī hai.”