7
Rab Dāūd se Abadī Bādshāhī kā Wādā Kartā Hai
1 Dāūd Bādshāh sukūn se apne mahal meṅ rahne lagā, kyoṅki Rab ne irdgird ke dushmanoṅ ko us par hamlā karne se rok diyā thā.
2 Ek din Dāūd ne Nātan Nabī se bāt kī, “Dekheṅ, maiṅ yahāṅ deodār ke mahal meṅ rahtā hūṅ jabki Allāh kā sandūq ab tak tambū meṅ paṛā hai. Yih munāsib nahīṅ hai!”
3 Nātan ne bādshāh kī hauslā-afzāī kī, “Jo kuchh bhī āp karnā chāhte haiṅ wuh kareṅ. Rab āp ke sāth hai.”
4 Lekin usī rāt Rab Nātan se hamkalām huā,
5 “Mere ḳhādim Dāūd ke pās jā kar use batā de ki Rab farmātā hai, ‘Kyā tū merī rihāish ke lie makān tāmīr karegā? Hargiz nahīṅ!
6 Āj tak maiṅ kisī makān meṅ nahīṅ rahā. Jab se maiṅ Isrāīliyoṅ ko Misr se nikāl lāyā us waqt se maiṅ ḳhaime meṅ rah kar jagah bajagah phirtā rahā hūṅ.
7 Jis daurān maiṅ tamām Isrāīliyoṅ ke sāth idhar-udhar phirtā rahā kyā maiṅ ne Isrāīl ke un rāhnumāoṅ se kabhī is nāte se shikāyat kī jinheṅ maiṅ ne apnī qaum kī gallābānī karne kā hukm diyā thā? Kyā maiṅ ne un meṅ se kisī se kahā ki tum ne mere lie deodār kā ghar kyoṅ nahīṅ banāyā?’
8 Chunāṅche mere ḳhādim Dāūd ko batā de, ‘Rabbul-afwāj farmātā hai ki maiṅ hī ne tujhe charāgāh meṅ bheṛoṅ kī gallābānī karne se fāriġh karke apnī qaum Isrāīl kā bādshāh banā diyā hai.
9 Jahāṅ bhī tū ne qadam rakhā wahāṅ maiṅ tere sāth rahā hūṅ. Tere deḳhte deḳhte maiṅ ne tere tamām dushmanoṅ ko halāk kar diyā hai. Ab maiṅ terā nām sarfarāz kar dūṅgā, wuh duniyā ke sab se azīm ādmiyoṅ ke nāmoṅ ke barābar hī hogā.
10 Aur maiṅ apnī qaum Isrāīl ke lie ek watan muhaiyā karūṅga, paude kī tarah unheṅ yoṅ lagā dūṅgā ki wuh jaṛ pakaṛ kar mahfūz raheṅge aur kabhī bechain nahīṅ hoṅge. Bedīn qaumeṅ unheṅ us tarah nahīṅ dabāeṅgī jis tarah māzī meṅ kiyā kartī thīṅ,
11 us waqt se jab maiṅ qaum par qāzī muqarrar kartā thā. Maiṅ tere dushmanoṅ ko tujh se dūr rakh kar tujhe amn-o-amān atā karūṅga. Āj Rab farmātā hai ki maiṅ hī tere lie ghar banāūṅgā.
12 Jab tū būṛhā ho kar kūch kar jāegā aur apne bāpdādā ke sāth ārām karegā to maiṅ terī jagah tere beṭoṅ meṅ se ek ko taḳht par biṭhā dūṅgā. Us kī bādshāhī ko maiṅ mazbūt banā dūṅgā.
13 Wuhī mere nām ke lie ghar tāmīr karegā, aur maiṅ us kī bādshāhī kā taḳht abad tak qāym rakhūṅgā.
14 Maiṅ us kā bāp hūṅgā, aur wuh merā beṭā hogā. Jab kabhī us se ġhaltī hogī to maiṅ use yoṅ chhaṛī se sazā dūṅgā jis tarah insānī bāp apne beṭe kī tarbiyat kartā hai.
15 Lekin merī nazar-e-karm kabhī us se nahīṅ haṭegī. Us ke sāth maiṅ wuh sulūk nahīṅ karūṅga jo maiṅ ne Sāūl ke sāth kiyā jab use tere sāmne se haṭā diyā.
16 Terā gharānā aur terī bādshāhī hameshā mere huzūr qāym rahegī, terā taḳht hameshā mazbūt rahegā.’ ”
Dāūd kī Shukrguzārī
17 Nātan ne Dāūd ke pās jā kar use sab kuchh sunāyā jo Rab ne use royā meṅ batāyā thā.
18 Tab Dāūd ahd ke sandūq ke pās gayā aur Rab ke huzūr baiṭh kar duā karne lagā,
“Ai Rab Qādir-e-mutlaq, maiṅ kaun hūṅ aur merā ḳhāndān kyā haisiyat rakhtā hai ki tū ne mujhe yahāṅ tak pahuṅchāyā hai?
19 Aur ab ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū mujhe aur bhī zyādā atā karne ko hai, kyoṅki tū ne apne ḳhādim ke gharāne ke mustaqbil ke bāre meṅ bhī wādā kiyā hai. Kyā tū ām taur par insān ke sāth aisā sulūk kartā hai? Hargiz nahīṅ!
20 Lekin maiṅ mazīd kyā kahūṅ? Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū to apne ḳhādim ko jāntā hai.
21 Tū ne apne farmān kī ḳhātir aur apnī marzī ke mutābiq yih azīm kām karke apne ḳhādim ko ittalā dī hai.
22 Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū kitnā azīm hai! Tujh jaisā koī nahīṅ hai. Ham ne apne kānoṅ se sun liyā hai ki tere siwā koī aur Ḳhudā nahīṅ hai.
23 Duniyā meṅ kaun-sī qaum terī ummat Isrāīl kī mānind hai? Tū ne isī ek qaum kā fidyā de kar use ġhulāmī se chhuṛāyā aur apnī qaum banā liyā. Tū ne Isrāīl ke wāste baṛe aur haibatnāk kām karke apne nām kī shohrat phailā dī. Hameṅ Misr se rihā karke tū ne qaumoṅ aur un ke dewatāoṅ ko hamāre āge se nikāl diyā.
24 Ai Rab, tū Isrāīl ko hameshā ke lie apnī qaum banā kar un kā Ḳhudā ban gayā hai.
25 Chunāṅche ai Rab Qādir-e-mutlaq, jo bāt tū ne apne ḳhādim aur us ke gharāne ke bāre meṅ kī hai use abad tak qāym rakh aur apnā wādā pūrā kar.
26 Tab terā nām abad tak mashhūr rahegā aur log taslīm kareṅge ki Rabbul-afwāj Isrāīl kā Ḳhudā hai. Phir tere ḳhādim Dāūd kā gharānā bhī tere huzūr qāym rahegā.
27 Ai Rabbul-afwāj, Isrāīl ke Ḳhudā, tū ne apne ḳhādim ke kān ko is bāt ke lie khol diyā hai. Tū hī ne farmāyā, ‘Maiṅ tere lie ghar tāmīr karūṅga.’ Sirf isī lie tere ḳhādim ne yoṅ tujh se duā karne kī jurrat kī hai.
28 Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū hī Ḳhudā hai, aur terī hī bātoṅ par etamād kiyā jā saktā hai. Tū ne apne ḳhādim se in achchhī chīzoṅ kā wādā kiyā hai.
29 Ab apne ḳhādim ke gharāne ko barkat dene par rāzī ho tāki wuh hameshā tak tere huzūr qāym rahe. Kyoṅki tū hī ne yih farmāyā hai, aur chūṅki tū ai Rab Qādir-e-mutlaq ne barkat dī hai is lie tere ḳhādim kā gharānā abad tak mubārak rahegā.”