8
Dāūd kī Jangeṅ
1 Phir aisā waqt āyā ki Dāūd ne Filistiyoṅ ko shikast de kar unheṅ apne tābe kar liyā aur hukūmat kī bāgḍor un ke hāthoṅ se chhīn lī.
2 Us ne Moābiyoṅ par bhī fatah pāī. Moābī qaidiyoṅ kī qatār banā kar us ne unheṅ zamīn par liṭā diyā. Phir rassī kā ṭukṛā le kar us ne qatār kā nāp liyā. Jitne log rassī kī lambāī meṅ ā gae wuh ek guroh ban gae. Yoṅ Dāūd ne logoṅ ko gurohoṅ meṅ taqsīm kiyā. Phir us ne gurohoṅ ke tīn hisse banā kar do hissoṅ ke sar qalam kie aur ek hisse ko zindā chhoṛ diyā. Lekin jitne qaidī chhūṭ gae wuh Dāūd ke tābe rah kar use ḳharāj dete rahe.
3 Dāūd ne shimālī Shām ke shahr Zobāh ke bādshāh Hadadazar bin Rahob ko bhī harā diyā jab Hadadazar Dariyā-e-Furāt par dubārā qābū pāne ke lie nikal āyā thā.
4 Dāūd ne 1,700 ghuṛsawāroṅ aur 20,000 piyādā sipāhiyoṅ ko giriftār kar liyā. Rathoṅ ke 100 ghoṛoṅ ko us ne apne lie mahfūz rakhā, jabki bāqiyoṅ kī us ne koṅcheṅ kāṭ dīṅ tāki wuh āindā jang ke lie istemāl na ho sakeṅ.
5 Jab Damishq ke Arāmī bāshinde Zobāh ke bādshāh Hadadazar kī madad karne āe to Dāūd ne un ke 22,000 afrād halāk kar die.
6 Phir us ne Damishq ke ilāqe meṅ apnī faujī chaukiyāṅ qāym kīṅ. Arāmī us ke tābe ho gae aur use ḳharāj dete rahe. Jahāṅ bhī Dāūd gayā wahāṅ Rab ne use kāmyābī baḳhshī.
7 Sone kī jo ḍhāleṅ Hadadazar ke afsaroṅ ke pās thīṅ unheṅ Dāūd Yarūshalam le gayā.
8 Hadadazar ke do shahroṅ Batāh aur Berotī se us ne kasrat kā pītal chhīn liyā.
9 Jab Hamāt ke bādshāh Tūī ko ittalā milī ki Dāūd ne Hadadazar kī pūrī fauj par fatah pāī hai
10 to us ne apne beṭe Yūrām ko Dāūd ke pās bhejā tāki use salām kahe. Yūrām ne Dāūd ko Hadadazar par fatah ke lie mubārakbād dī, kyoṅki Hadadazar Tūī kā dushman thā, aur un ke darmiyān jang rahī thī. Yūrām ne Dāūd ko sone, chāṅdī aur pītal ke tohfe bhī pesh kie.
11 Dāūd ne yih chīzeṅ Rab ke lie maḳhsūs kar dīṅ. Jahāṅ bhī wuh dūsrī qaumoṅ par ġhālib āyā wahāṅ kī sonā-chāṅdī us ne Rab ke lie maḳhsūs kar dī.
12 Yoṅ Adom, Moāb, Ammon, Filistiyā, Amālīq aur Zobāh ke bādshāh Hadadazar bin Rahob kī sonā-chāṅdī Rab ko pesh kī gaī.
13 Jab Dāūd ne Namak kī Wādī meṅ Adomiyoṅ par fatah pāī to us kī shohrat mazīd phail gaī. Us jang meṅ dushman ke 18,000 afrād halāk hue.
14 Dāūd ne Adom ke pūre mulk meṅ apnī faujī chaukiyāṅ qāym kīṅ, aur tamām Adomī Dāūd ke tābe ho gae. Dāūd jahāṅ bhī jātā Rab us kī madad karke use fatah baḳhshtā.
Dāūd ke Ālā Afsar
15 Jitnī der Dāūd pūre Isrāīl par hukūmat kartā rahā utnī der tak us ne dhyān diyā ki qaum ke har ek shaḳhs ko insāf mil jāe.
16 Yoāb bin Zarūyāh fauj par muqarrar thā. Yahūsafat bin Aḳhīlūd bādshāh kā mushīr-e-ḳhās thā.
17 Sadoq bin Aḳhītūb aur Aḳhīmalik bin Abiyātar imām the. Sirāyāh mīrmunshī thā.
18 Bināyāh bin Yahoyadā Dāūd ke ḳhās daste banām Karetī-o-Faletī kā kaptān thā. Dāūd ke beṭe imām the.