2
Jamāt kī Parastish
Pahle maiṅ is par zor denā chāhtā hūṅ ki āp sab ke lie darḳhāsteṅ, duāeṅ, siphārisheṅ aur shukrguzāriyāṅ pesh kareṅ, bādshāhoṅ aur iḳhtiyār wāloṅ ke lie bhī tāki ham ārām aur sukūn se ḳhudātars aur sharīf zindagī guzār sakeṅ. Yih achchhā aur hamāre Najātdahindā Allāh ko pasandīdā hai. Hāṅ, wuh chāhtā hai ki tamām insān najāt pā kar sachchāī ko jān leṅ. Kyoṅki ek hī Ḳhudā hai aur Allāh aur insān ke bīch meṅ ek hī darmiyānī hai yānī Masīh Īsā, wuh insān jis ne apne āp ko fidyā ke taur par sab ke lie de diyā tāki wuh maḳhlasī pāeṅ. Yoṅ us ne muqarrarā waqt par gawāhī dī aur yih gawāhī sunāne ke lie mujhe munād, rasūl aur Ġhairyahūdiyoṅ kā ustād muqarrar kiyā tāki unheṅ īmān aur sachchāī kā paiġhām sunāūṅ. Maiṅ jhūṭ nahīṅ bol rahā balki sach kah rahā hūṅ.
Ab maiṅ chāhtā hūṅ ki har maqāmī jamāt ke mard muqaddas hāth uṭhā kar duā kareṅ. Wuh ġhusse yā bahs-mubāhasā kī hālat meṅ aisā na kareṅ. Isī tarah maiṅ chāhtā hūṅ ki ḳhawātīn munāsib kapṛe pahan kar sharāfat aur shāystagī se apne āp ko ārāstā kareṅ. Wuh gundhe hue bāl, sonā, motī yā had se zyādā mahange kapṛoṅ se apne āp ko ārāstā na kareṅ 10 balki nek kāmoṅ se. Kyoṅki yihī aisī ḳhawātīn ke lie munāsib hai jo ḳhudātars hone kā dāwā kartī haiṅ. 11 Ḳhātūn ḳhāmoshī se aur pūrī farmāṅbardārī ke sāth sīkhe. 12 Maiṅ ḳhawātīn ko tālīm dene yā ādmiyoṅ par hukūmat karne kī ijāzat nahīṅ detā. Wuh ḳhāmosh raheṅ. 13 Kyoṅki pahle Ādam ko tashkīl diyā gayā, phir Hawwā ko. 14 Aur Ādam ne Iblīs se dhokā na khāyā balki Hawwā ne, jis kā natījā gunāh thā. 15 Lekin ḳhawātīn bachche janm dene se najāt pāeṅgī. Shart yih hai ki wuh samajh ke sāth īmān, muhabbat aur muqaddas hālat meṅ zindagī guzārtī raheṅ.