3
Ḳhudā kī Jamāt ke Nigarān
1 Yih bāt yaqīnī hai ki jo jamāt kā nigarān bananā chāhtā hai wuh ek achchhī zimmedārī kī ārzū rakhtā hai.
2 Lāzim hai ki nigarān be'ilzām ho. Us kī ek hī bīwī ho. Wuh hoshmand, samajhdār, sharīf, mehmān-nawāz aur tālīm dene ke qābil ho.
3 Wuh sharābī na ho, na laṛākā balki narmdil aur amnpasand. Wuh paisoṅ kā lālach karne wālā na ho.
4 Lāzim hai ki wuh apne ḳhāndān ko achchhī tarah saṅbhāl sake aur ki us ke bachche sharāfat ke sāth us kī bāt māneṅ.
5 Kyoṅki agar wuh apnā ḳhāndān na saṅbhāl sake to wuh kis tarah Allāh kī jamāt kī dekh-bhāl kar sakegā?
6 Wuh naumurīd na ho warnā ḳhatrā hai ki wuh phūl kar Iblīs ke jāl meṅ ulajh jāe aur yoṅ us kī adālat kī jāe.
7 Lāzim hai ki jamāt se bāhar ke log us kī achchhī gawāhī de sakeṅ, aisā na ho ki wuh badnām ho kar Iblīs ke phande meṅ phaṅs jāe.
Jamāt ke Madadgār
8 Isī tarah jamāt ke madadgār bhī sharīf hoṅ. Wuh riyākār na hoṅ, na had se zyādā mai pieṅ. Wuh lālchī bhī na hoṅ.
9 Lāzim hai ki wuh sāf zamīr rakh kar īmān kī purasrār sachchāiyāṅ mahfūz rakheṅ.
10 Yih bhī zarūrī hai ki unheṅ pahle parkhā jāe. Agar wuh is ke bād be'ilzām nikleṅ to phir wuh ḳhidmat kareṅ.
11 Un kī bīwiyāṅ bhī sharīf hoṅ. Wuh buhtān lagāne wālī na hoṅ balki hoshmand aur har bāt meṅ wafādār.
12 Madadgār kī ek hī bīwī ho. Lāzim hai ki wuh apne bachchoṅ aur ḳhāndān ko achchhī tarah saṅbhāl sake.
13 Jo madadgār achchhī tarah apnī ḳhidmat saṅbhālte haiṅ un kī haisiyat baṛh jāegī aur Masīh Īsā par un kā īmān itnā puḳhtā ho jāegā ki wuh baṛe etamād ke sāth zindagī guzār sakeṅge.
Ek Azīm Bhed
14 Agarche maiṅ jald āp ke pās āne kī ummīd rakhtā hūṅ to bhī āp ko yih ḳhat likh rahā hūṅ.
15 Lekin agar der bhī lage to yih paṛh kar āp ko mālūm hogā ki Allāh ke gharāne meṅ hamārā bartāw kaisā honā chāhie. Allāh kā gharānā kyā hai? Zindā Ḳhudā kī jamāt, jo sachchāī kā satūn aur buniyād hai.
16 Yaqīnan hamāre īmān kā bhed azīm hai.
Wuh jism meṅ zāhir huā,
Rūh meṅ rāstbāz ṭhahrā
aur farishtoṅ ko dikhāī diyā.
Us kī Ġhairyahūdiyoṅ meṅ munādī kī gaī,
us par duniyā meṅ īmān lāyā gayā
aur use āsmān ke jalāl meṅ uṭhā liyā gayā.