10
Rab hī Madad Kar Saktā Hai
1 Bahār ke mausam meṅ Rab se bārish māṅgo. Kyoṅki wuhī ghane bādal banātā hai, wuhī bārish barsā kar har ek ko khet kī hariyālī muhaiyā kartā hai.
2 Tumhāre gharoṅ ke but fareb dete, tumhāre ġhaibdān jhūṭī royā deḳhte aur farebdeh ḳhāb sunāte haiṅ. Un kī tasallī abas hai. Isī lie qaum ko bheṛ-bakriyoṅ kī tarah yahāṅ se chalā jānā paṛā. Gallābān nahīṅ hai, is lie wuh musībat meṅ uljhe rahte haiṅ.
Rab Apnī Qaum ko Wāpas Lāegā
3 Rab farmātā hai, “Merī qaum ke gallābānoṅ par merā ġhazab bhaṛak uṭhā hai, aur jo bakre us kī rāhnumāī kar rahe haiṅ unheṅ maiṅ sazā dūṅgā. Kyoṅki Rabbul-afwāj apne rewaṛ Yahūdāh ke gharāne kī dekh-bhāl karegā, use jangī ghoṛe jaisā shāndār banā degā.
4 Yahūdāh se kone kā buniyādī patthar, meḳh, jang kī kamān aur tamām hukmrān nikal āeṅge.
5 Sab sūrme kī mānind hoṅge jo laṛte waqt dushman ko galī ke kachre meṅ kuchal deṅge. Rabbul-afwāj un ke sāth hogā, is lie wuh laṛ kar ġhālib āeṅge. Muḳhālif ghuṛsawāroṅ kī baṛī ruswāī hogī.
6 Maiṅ Yahūdāh ke gharāne ko taqwiyat dūṅgā, Yūsuf ke gharāne ko chhuṭkārā dūṅgā, hāṅ un par rahm karke unheṅ dubārā watan meṅ basā dūṅgā. Tab un kī hālat se patā nahīṅ chalegā ki maiṅ ne kabhī unheṅ radd kiyā thā. Kyoṅki maiṅ Rab un kā Ḳhudā hūṅ, maiṅ hī un kī sunūṅgā.
7 Ifrāīm ke afrād sūrme se ban jāeṅge, wuh yoṅ ḳhush ho jāeṅge jis tarah dil mai pīne se ḳhush ho jātā hai. Un ke bachche yih dekh kar bāġh bāġh ho jāeṅge, un ke dil Rab kī ḳhushī manāeṅge.
8 Maiṅ sīṭī bajā kar unheṅ jamā karūṅga, kyoṅki maiṅ ne fidyā de kar unheṅ āzād kar diyā hai. Tab wuh pahle kī tarah beshumār ho jāeṅge.
9 Maiṅ unheṅ bīj kī tarah muḳhtalif qaumoṅ meṅ bo kar muntashir kar dūṅgā, lekin dūr-darāz ilāqoṅ meṅ wuh mujhe yād kareṅge. Aur ek din wuh apnī aulād samet bach kar wāpas āeṅge.
10 Maiṅ unheṅ Misr se wāpas lāūṅgā, Asūr se ikaṭṭhā karūṅga. Maiṅ unheṅ Jiliyād aur Lubnān meṅ lāūṅgā, to bhī un ke lie jagah kāfī nahīṅ hogī.
11 Jab wuh musībat ke samundar meṅ se guzareṅge to Rab maujoṅ ko yoṅ māregā ki sab kuchh pānī kī gahrāiyoṅ tak ḳhushk ho jāegā. Asūr kā faḳhr ḳhāk meṅ mil jāegā, aur Misr kā shāhī asā dūr ho jāegā.
12 Maiṅ apnī qaum ko Rab meṅ taqwiyat dūṅgā, aur wuh us kā hī nām le kar zindagī guzāreṅge.” Yih Rab kā farmān hai.