25
Yahūdāh kā Bādshāh Amasiyāh
1 Amasiyāh 25 sāl kī umr meṅ bādshāh banā aur Yarūshalam meṅ us kī hukūmat kā daurāniyā 29 sāl thā. Us kī māṅ Yahuaddān Yarūshalam kī rahne wālī thī. 2 Jo kuchh Amasiyāh ne kiyā wuh Rab ko pasand thā, lekin wuh pūre dil se Rab kī pairawī nahīṅ kartā thā. 3 Jyoṅ hī us ke pāṅw mazbūtī se jam gae us ne un afsaroṅ ko sazā-e-maut dī jinhoṅ ne bāp ko qatl kar diyā thā. 4 Lekin un ke beṭoṅ ko us ne zindā rahne diyā aur yoṅ Mūswī sharīat ke tābe rahā jis meṅ Rab farmātā hai, “Wālidain ko un ke bachchoṅ ke jarāym ke sabab se sazā-e-maut na dī jāe, na bachchoṅ ko un ke wālidain ke jarāym ke sabab se. Agar kisī ko sazā-e-maut denī ho to us gunāh ke sabab se jo us ne ḳhud kiyā hai.”
Adom se Jang
5 Amasiyāh ne Yahūdāh aur Binyamīn ke qabīloṅ ke tamām mardoṅ ko bulā kar unheṅ ḳhāndānoṅ ke mutābiq tartīb diyā. Us ne hazār hazār aur sau sau faujiyoṅ par afsar muqarrar kie. Jitne bhī mard 20 yā is se zāyd sāl ke the un sab kī bhartī huī. Is tarah 3,00,000 faujī jamā hue. Sab baṛī ḍhāloṅ aur nezoṅ se lais the. 6 Is ke alāwā Amasiyāh ne Isrāīl ke 1,00,000 tajrabākār faujiyoṅ ko ujrat par bhartī kiyā tāki wuh jang meṅ madad kareṅ. Unheṅ us ne chāṅdī ke taqrīban 3,400 kilogrām die.
7 Lekin ek mard-e-Ḳhudā ne Amasiyāh ke pās ā kar use samjhāyā, “Bādshāh salāmat, lāzim hai ki yih Isrāīlī faujī āp ke sāth mil kar laṛne ke lie na nikleṅ. Kyoṅki Rab un ke sāth nahīṅ hai, wuh Ifrāīm ke kisī bhī rahne wāle ke sāth nahīṅ hai. 8 Agar āp un ke sāth mil kar nikleṅ tāki mazbūtī se dushman se laṛeṅ to Allāh āp ko dushman ke sāmne girā degā. Kyoṅki Allāh ko āp kī madad karne aur āp ko girāne kī qudrat hāsil hai.” 9 Amasiyāh ne etarāz kiyā, “Lekin maiṅ Isrāīliyoṅ ko chāṅdī ke 3,400 kilogrām adā kar chukā hūṅ. In paisoṅ kā kyā banegā?” Mard-e-Ḳhudā ne jawāb diyā, “Rab āp ko is se kahīṅ zyādā atā kar saktā hai.” 10 Chunāṅche Amasiyāh ne Ifrāīm se āe hue tamām faujiyoṅ ko fāriġh karke wāpas bhej diyā, aur wuh Yahūdāh se bahut nārāz hue. Har ek baṛe taish meṅ apne apne ghar chalā gayā.
11 To bhī Amasiyāh jurrat karke jang ke lie niklā. Apnī fauj ko Namak kī Wādī meṅ le jā kar us ne Adomiyoṅ par fatah pāī. Un ke 10,000 mard maidān-e-jang meṅ māre gae. 12 Dushman ke mazīd 10,000 ādmiyoṅ ko giriftār kar liyā gayā. Yahūdāh ke faujiyoṅ ne qaidiyoṅ ko ek ūṅchī chaṭṭān kī choṭī par le jā kar nīche girā diyā. Is tarah sab pāsh pāsh ho kar halāk hue.
13 Itne meṅ fāriġh kie gae Isrāīlī faujiyoṅ ne Sāmariya aur Bait-haurūn ke bīch meṅ wāqe Yahūdāh ke shahroṅ par hamlā kiyā thā. Laṛte laṛte unhoṅ ne 3,000 mardoṅ ko maut ke ghāṭ utār diyā aur bahut-sā māl lūṭ liyā thā.
Amasiyāh kī Butparastī
14 Adomiyoṅ ko shikast dene ke bād Amasiyāh Saīr ke bāshindoṅ ke butoṅ ko lūṭ kar apne ghar wāpas lāyā. Wahāṅ us ne unheṅ khaṛā kiyā aur un ke sāmne aundhe muṅh jhuk kar unheṅ qurbāniyāṅ pesh kīṅ. 15 Yih dekh kar Rab us se bahut nārāz huā. Us ne ek nabī ko us ke pās bhejā jis ne kahā, “Tū in dewatāoṅ kī taraf kyoṅ rujū kar rahā hai? Yih to apnī qaum ko tujh se najāt na dilā sake.” 16 Amasiyāh ne nabī kī bāt kāṭ kar kahā, “Ham ne kab se tujhe bādshāh kā mushīr banā diyā hai? Ḳhāmosh, warnā tujhe mār diyā jāegā.” Nabī ne ḳhāmosh ho kar itnā hī kahā, “Mujhe mālūm hai ki Allāh ne āp ko āp kī in harkatoṅ kī wajah se aur is lie ki āp ne merā mashwarā qabūl nahīṅ kiyā tabāh karne kā faislā kar liyā hai.”
Amasiyāh Isrāīl ke Bādshāh Yuās se Laṛtā Hai
17 Ek din Yahūdāh ke bādshāh Amasiyāh ne apne mushīroṅ se mashwarā karne ke bād Yuās bin Yahuāḳhaz bin Yāhū ko paiġhām bhejā, “Āeṅ, ham ek dūsre kā muqābalā kareṅ!” 18 Lekin Isrāīl ke bādshāh Yuās ne jawāb diyā, “Lubnān meṅ ek kāṅṭedār jhāṛī ne deodār ke ek daraḳht se bāt kī, ‘Mere beṭe ke sāth apnī beṭī kā rishtā bāndho.’ Lekin usī waqt Lubnān ke janglī jānwaroṅ ne us ke ūpar se guzar kar use pāṅwoṅ tale kuchal ḍālā. 19 Adom par fatah pāne ke sabab se āp kā dil maġhrūr ho kar mazīd shohrat hāsil karnā chāhtā hai. Lekin merā mashwarā hai ki āp apne ghar meṅ raheṅ. Āp aisī musībat ko kyoṅ dāwat dete haiṅ jo āp aur Yahūdāh kī tabāhī kā bāis ban jāe?” 20 Lekin Amasiyāh mānane ke lie taiyār nahīṅ thā. Allāh use aur us kī qaum ko Isrāīliyoṅ ke hawāle karnā chāhtā thā, kyoṅki unhoṅ ne Adomiyoṅ ke dewatāoṅ kī taraf rujū kiyā thā.
21 Tab Isrāīl kā bādshāh Yuās apnī fauj le kar Yahūdāh par chaṛh āyā. Bait-shams ke pās us kā Yahūdāh ke bādshāh Amasiyāh ke sāth muqābalā huā. 22 Isrāīlī fauj ne Yahūdāh kī fauj ko shikast dī, aur har ek apne apne ghar bhāg gayā. 23 Isrāīl ke bādshāh Yuās ne Yahūdāh ke bādshāh Amasiyāh bin Yuās bin Aḳhaziyāh ko wahīṅ Bait-shams meṅ giriftār kar liyā. Phir wuh use Yarūshalam lāyā aur shahr kī fasīl Ifrāīm nāmī darwāze se le kar Kone ke Darwāze tak girā dī. Is hisse kī lambāī taqrīban 600 fuṭ thī. 24 Jitnā bhī sonā, chāṅdī aur qīmtī sāmān Rab ke ghar aur shāhī mahal ke ḳhazānoṅ meṅ thā use us ne pūre kā pūrā chhīn liyā. Us waqt Obed-adom Rab ke ghar ke ḳhazāne saṅbhāltā thā. Yuās lūṭā huā māl aur bāz yarġhamāloṅ ko le kar Sāmariya wāpas chalā gayā.
Amasiyāh kī Maut
25 Isrāīl ke bādshāh Yuās bin Yahuāḳhaz kī maut ke bād Yahūdāh kā bādshāh Amasiyāh bin Yuās mazīd 15 sāl jītā rahā. 26 Bāqī jo kuchh Amasiyāh kī hukūmat ke daurān huā wuh shurū se le kar āḳhir tak ‘Shāhān-e-Isrāīl-o-Yahūdāh’ kī kitāb meṅ darj hai. 27 Jab se wuh Rab kī pairawī karne se bāz āyā us waqt se log Yarūshalam meṅ us ke ḳhilāf sāzish karne lage. Āḳhirkār us ne farār ho kar Lakīs meṅ panāh lī, lekin sāzish karne wāloṅ ne apne logoṅ ko us ke pīchhe bhejā, aur wuh wahāṅ use qatl karne meṅ kāmyāb ho gae. 28 Us kī lāsh ghoṛe par uṭhā kar Yahūdāh ke shahr Yarūshalam lāī gaī jahāṅ use ḳhāndānī qabr meṅ dafnāyā gayā.