26
Yahūdāh kā Bādshāh Uzziyāh
1 Yahūdāh ke tamām logoṅ ne Amasiyāh kī jagah us ke beṭe Uzziyāh ko taḳht par biṭhā diyā. Us kī umr 16 sāl thī 2 jab us kā bāp mar kar apne bāpdādā se jā milā. Bādshāh banane ke bād Uzziyāh ne Ailāt Shahr par qabzā karke use dubārā Yahūdāh kā hissā banā liyā. Us ne shahr meṅ bahut tāmīrī kām karwāyā.
3 Uzziyāh 16 sāl kī umr meṅ bādshāh banā aur Yarūshalam meṅ rah kar 52 sāl hukūmat kartā rahā. Us kī māṅ Yakūliyāh Yarūshalam kī rahne wālī thī. 4 Apne bāp Amasiyāh kī tarah us kā chāl-chalan Rab ko pasand thā. 5 Imām-e-āzam Zakariyāh ke jīte-jī Uzziyāh Rab kā tālib rahā, kyoṅki Zakariyāh use Allāh kā ḳhauf mānane kī tālīm detā rahā. Jab tak bādshāh Rab kā tālib rahā us waqt tak Allāh use kāmyābī baḳhshtā rahā.
6 Uzziyāh ne Filistiyoṅ se jang karke Jāt, Yabnā aur Ashdūd kī fasīloṅ ko ḍhā diyā. Dīgar kaī shahroṅ ko us ne nae sire se tāmīr kiyā jo Ashdūd ke qarīb aur Filistiyoṅ ke bāqī ilāqe meṅ the. 7 Lekin Allāh ne na sirf Filistiyoṅ se laṛte waqt Uzziyāh kī madad kī balki us waqt bhī jab Jūr-bāl meṅ rahne wāle Araboṅ aur Maūniyoṅ se jang chhiṛ gaī. 8 Ammoniyoṅ ko Uzziyāh ko ḳharāj adā karnā paṛā, aur wuh itnā tāqatwar banā ki us kī shohrat Misr tak phail gaī.
9 Yarūshalam meṅ Uzziyāh ne Kone ke Darwāze, Wādī ke Darwāze aur fasīl ke moṛ par mazbūt burj banwāe. 10 Us ne bayābān meṅ bhī burj tāmīr kie aur sāth sāth patthar ke beshumār hauz tarāshe, kyoṅki maġhribī Yahūdāh ke nashebī pahāṛī ilāqe aur maidānī ilāqe meṅ us ke baṛe baṛe rewaṛ charte the. Bādshāh ko kāshtkārī kā kām ḳhās pasand thā. Bahut log pahāṛī ilāqoṅ aur zarḳhez wādiyoṅ meṅ us ke khetoṅ aur angūr ke bāġhoṅ kī nigarānī karte the.
11 Uzziyāh kī tāqatwar fauj thī. Bādshāh ke ālā afsar Hananiyāh kī rāhnumāī meṅ mīrmunshī Ya'iyel ne afsar Māsiyāh ke sāth fauj kī bhartī karke use tartīb diyā thā. 12 In dastoṅ par kunboṅ ke 2,600 sarparast muqarrar the. 13 Fauj 3,07,500 jang laṛne ke qābil mardoṅ par mushtamil thī. Jang meṅ bādshāh un par pūrā bharosā kar saktā thā. 14 Uzziyāh ne apne tamām faujiyoṅ ko ḍhāloṅ, nezoṅ, ḳhodoṅ, zirābaktaroṅ, kamānoṅ aur falāḳhan ke sāmān se musallah kiyā. 15 Aur Yarūshalam ke burjoṅ aur fasīl ke konoṅ par us ne aisī mashīneṅ lagāeṅ jo tīr chalā saktī aur baṛe baṛe patthar phaiṅk saktī thīṅ.
Uzziyāh Maġhrūr Ho Jātā Hai
Ġharz, Allāh kī madad se Uzziyāh kī shohrat dūr dūr tak phail gaī, aur us kī tāqat baṛhtī gaī.
16 Lekin is tāqat ne use maġhrūr kar diyā, aur natīje meṅ wuh ġhalat rāh par ā gayā. Rab apne Ḳhudā kā bewafā ho kar wuh ek din Rab ke ghar meṅ ghus gayā tāki baḳhūr kī qurbāngāh par baḳhūr jalāe. 17 Lekin imām-e-āzam Azariyāh Rab ke mazīd 80 bahādur imāmoṅ ko apne sāth le kar us ke pīchhe pīchhe gayā. 18 Unhoṅ ne bādshāh Uzziyāh kā sāmnā karke kahā, “Munāsib nahīṅ ki āp Rab ko baḳhūr kī qurbānī pesh kareṅ. Yih Hārūn kī aulād yānī imāmoṅ kī zimmedārī hai jinheṅ is ke lie maḳhsūs kiyā gayā hai. Maqdis se nikal jāeṅ, kyoṅki āp Allāh se bewafā ho gae haiṅ, aur āp kī yih harkat Rab Ḳhudā ke sāmne izzat kā bāis nahīṅ banegī.” 19 Uzziyāh baḳhūrdān ko pakaṛe baḳhūr ko pesh karne ko thā ki imāmoṅ kī bāteṅ sun kar āg-bagūlā ho gayā. Lekin usī lamhe us ke māthe par koṛh phūṭ niklā. 20 Yih dekh kar imām-e-āzam Azariyāh aur dīgar imāmoṅ ne use jaldī se Rab ke ghar se nikāl diyā. Uzziyāh ne ḳhud bhī wahāṅ se nikalne kī jaldī kī, kyoṅki Rab hī ne use sazā dī thī.
21 Uzziyāh jīte-jī is bīmārī se shafā na pā sakā. Use alāhidā ghar meṅ rahnā paṛā, aur use Rab ke ghar meṅ dāḳhil hone kī ijāzat nahīṅ thī. Us ke beṭe Yūtām ko mahal par muqarrar kiyā gayā, aur wuhī ummat par hukūmat karne lagā.
22 Bāqī jo kuchh Uzziyāh kī hukūmat ke daurān shurū se le kar āḳhir tak huā wuh Āmūs ke beṭe Yasāyāh Nabī ne qalamband kiyā hai. 23 Jab Uzziyāh mar kar apne bāpdādā se jā milā to use koṛh kī wajah se dūsre bādshāhoṅ ke sāth nahīṅ dafnāyā gayā balki qarīb ke ek khet meṅ jo shāhī ḳhāndān kā thā. Phir us kā beṭā Yūtām taḳhtnashīn huā.