13
Isrāīl kā Bādshāh Yahuāḳhaz
1 Yahuāḳhaz bin Yāhū Yahūdāh ke bādshāh Yuās bin Aḳhaziyāh kī hukūmat ke 23weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Us kī hukūmat kā daurāniyā 17 sāl thā, aur us kā dārul-hukūmat Sāmariya rahā. 2 Us kā chāl-chalan Rab ko nāpasand thā, kyoṅki wuh bhī Yarubiyām bin Nabāt ke bure namūne par chaltā rahā. Us ne wuh gunāh jārī rakhe jo karne par Yarubiyām ne Isrāīl ko uksāyā thā. Us butparastī se wuh kabhī bāz na āyā. 3 Is wajah se Rab Isrāīl se bahut nārāz huā, aur wuh Shām ke bādshāh Hazāel aur us ke beṭe Bin-hadad ke wasīle se unheṅ bār bār dabātā rahā.
4 Lekin phir Yahuāḳhaz ne Rab kā ġhazab ṭhanḍā kiyā, aur Rab ne us kī minnateṅ sunīṅ, kyoṅki use mālūm thā ki Shām kā bādshāh Isrāīl par kitnā zulm kar rahā hai. 5 Rab ne kisī ko bhej diyā jis ne unheṅ Shām ke zulm se āzād karwāyā. Is ke bād wuh pahle kī tarah sukūn ke sāth apne gharoṅ meṅ rah sakte the. 6 To bhī wuh un gunāhoṅ se bāz na āe jo karne par Yarubiyām ne unheṅ uksāyā thā balki un kī yih butparastī jārī rahī. Yasīrat Dewī kā but bhī Sāmariya se haṭāyā na gayā.
7 Āḳhir meṅ Yahuāḳhaz ke sirf 50 ghuṛsawār, 10 rath aur 10,000 piyādā sipāhī rah gae. Fauj kā bāqī hissā Shām ke bādshāh ne tabāh kar diyā thā. Us ne Isrāīlī faujiyoṅ ko kuchal kar yoṅ uṛā diyā thā jis tarah dhūl anāj ko gāhte waqt uṛ jātī hai.
8 Bāqī jo kuchh Yahuāḳhaz kī hukūmat ke daurān huā, jo kuchh us ne kiyā aur jo kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅ wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ bayān kī gaī haiṅ. 9 Jab wuh mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Sāmariya meṅ dafnāyā gayā. Phir us kā beṭā Yahuās taḳhtnashīn huā.
Isrāīl kā Bādshāh Yahuās
10 Yahuās bin Yahuāḳhaz Yahūdāh ke bādshāh Yuās kī hukūmat ke 37weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. 11 Yahuās kā chāl-chalan Rab ko nāpasand thā. Wuh un gunāhoṅ se bāz na āyā jo karne par Yarubiyām bin Nabāt ne Isrāīl ko uksāyā thā balki yih butparastī jārī rahī. 12 Bāqī jo kuchh Yahuās kī hukūmat ke daurān huā, jo kuchh us ne kiyā aur jo kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅ wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj haiṅ. Us meṅ us kī Yahūdāh ke bādshāh Amasiyāh ke sāth jang kā zikr bhī hai.
13 Jab Yahuās mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Sāmariya meṅ shāhī qabr meṅ dafnāyā gayā. Phir Yarubiyām Duwum taḳht par baiṭh gayā.
Bistar-e-Marg par Yahuās kī Ilīshā se Mulāqāt
14 Yahuās ke daur-e-hukūmat meṅ Ilīshā shadīd bīmār ho gayā. Jab wuh marne ko thā to Isrāīl kā bādshāh Yahuās us se milne gayā. Us ke ūpar jhuk kar wuh ḳhūb ro paṛā aur chillāyā, “Hāy, mere bāp, mere bāp. Isrāīl ke rath aur us ke ghoṛe!” 15 Ilīshā ne use hukm diyā, “Ek kamān aur kuchh tīr le āeṅ.” Bādshāh kamān aur tīr Ilīshā ke pās le āyā. 16 Phir Ilīshā bolā, “Kamān ko pakaṛeṅ.” Jab bādshāh ne kamān ko pakaṛ liyā to Ilīshā ne apne hāth us ke hāthoṅ par rakh die. 17 Phir us ne hukm diyā, “Mashriqī khiṛkī ko khol deṅ.” Bādshāh ne use khol diyā. Ilīshā ne kahā, “Tīr chalāeṅ!” Bādshāh ne tīr chalāyā. Ilīshā pukārā, “Yih Rab kā fatah dilāne wālā tīr hai, Shām par fatah kā tīr! Āp Afīq ke pās Shām kī fauj ko mukammal taur par tabāh kar deṅge.”
18 Phir us ne bādshāh ko hukm diyā, “Ab bāqī tīroṅ ko pakaṛeṅ.” Bādshāh ne unheṅ pakaṛ liyā. Phir Ilīshā bolā, “In ko zamīn par paṭaḳh deṅ.” Bādshāh ne tīn martabā tīroṅ ko zamīn par paṭaḳh diyā aur phir ruk gayā. 19 Yih dekh kar mard-e-Ḳhudā ġhusse ho gayā aur bolā, “Āp ko tīroṅ ko pāṅch yā chhih martabā zamīn par paṭaḳhnā chāhie thā. Agar aisā karte to Shām kī fauj ko shikast de kar mukammal taur par tabāh kar dete. Lekin ab āp use sirf tīn martabā shikast deṅge.”
20 Thoṛī der ke bād Ilīshā faut huā aur use dafn kiyā gayā. Un dinoṅ meṅ Moābī luṭere har sāl mausam-e-bahār ke daurān mulk meṅ ghus āte the. 21 Ek din kisī kā janāzā ho rahā thā to achānak yih luṭere nazar āe. Mātam karne wāle lāsh ko qarīb kī Ilīshā kī qabr meṅ phaiṅk kar bhāg gae. Lekin jyoṅ hī lāsh Ilīshā kī haḍḍiyoṅ se ṭakrāī us meṅ jān ā gaī aur wuh ādmī khaṛā ho gayā.
Ilīshā ke Āḳhirī Alfāz Pūre Ho Jāte Haiṅ
22 Yahuāḳhaz ke jīte-jī Shām kā bādshāh Hazāel Isrāīl ko dabātā rahā. 23 To bhī Rab ko apnī qaum par tars āyā. Us ne un par rahm kiyā, kyoṅki use wuh ahd yād rahā jo us ne Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb se bāndhā thā. Āj tak wuh unheṅ tabāh karne yā apne huzūr se ḳhārij karne ke lie taiyār nahīṅ huā.
24 Jab Shām kā bādshāh Hazāel faut huā to us kā beṭā Bin-hadad taḳhtnashīn huā. 25 Tab Yahuās bin Yahuāḳhaz ne Bin-hadad se wuh Isrāīlī shahr dubārā chhīn lie jin par Bin-hadad ke bāp Hazāel ne qabzā kar liyā thā. Tīn bār Yahuās ne Bin-hadad ko shikast de kar Isrāīlī shahr wāpas le lie.