14
Yahūdāh kā Bādshāh Amasiyāh
1 Amasiyāh bin Yuās Isrāīl ke bādshāh Yahuās bin Yahuāḳhaz ke dūsre sāl meṅ Yahūdāh kā bādshāh banā. 2 Us waqt wuh 25 sāl kā thā. Wuh Yarūshalam meṅ rah kar 29 sāl hukūmat kartā rahā. Us kī māṅ Yahuaddān Yarūshalam kī rahne wālī thī. 3 Jo kuchh Amasiyāh ne kiyā wuh Rab ko pasand thā, agarche wuh utnī wafādārī se Rab kī pairawī nahīṅ kartā thā jitnī us ke bāp Dāūd ne kī thī. Har kām meṅ wuh apne bāp Yuās ke namūne par chalā, 4 lekin us ne bhī ūṅchī jaghoṅ ke mandiroṅ ko dūr na kiyā. Ām log ab tak wahāṅ qurbāniyāṅ chaṛhāte aur baḳhūr jalāte rahe.
5 Jyoṅ hī Amasiyāh ke pāṅw mazbūtī se jam gae us ne un afsaroṅ ko sazā-e-maut dī jinhoṅ ne bāp ko qatl kar diyā thā. 6 Lekin un ke beṭoṅ ko us ne zindā rahne diyā aur yoṅ Mūswī sharīat ke tābe rahā jis meṅ Rab farmātā hai, “Wālidain ko un ke bachchoṅ ke jarāym ke sabab se sazā-e-maut na dī jāe, na bachchoṅ ko un ke wālidain ke jarāym ke sabab se. Agar kisī ko sazā-e-maut denī ho to us gunāh ke sabab se jo us ne ḳhud kiyā hai.”
7 Amasiyāh ne Adomiyoṅ ko Namak kī Wādī meṅ shikast dī. Us waqt un ke 10,000 faujī us se laṛne āe the. Jang ke daurān us ne Silā Shahr par qabzā kar liyā aur us kā nām Yuqtiyel rakhā. Yih nām āj tak rāyj hai.
Amasiyāh Isrāīl ke Bādshāh Yahuās se Laṛtā Hai
8 Is fatah ke bād Amasiyāh ne Isrāīl ke bādshāh Yahuās bin Yahuāḳhaz ko paiġhām bhejā, “Āeṅ, ham ek dūsre kā muqābalā kareṅ!” 9 Lekin Isrāīl ke bādshāh Yahuās ne jawāb diyā, “Lubnān meṅ ek kāṅṭedār jhāṛī ne deodār ke ek daraḳht se bāt kī, ‘Mere beṭe ke sāth apnī beṭī kā rishtā bāndho.’ Lekin usī waqt Lubnān ke janglī jānwaroṅ ne us ke ūpar se guzar kar use pāṅwoṅ tale kuchal ḍālā. 10 Mulk-e-Adom par fatah pāne ke sabab se āp kā dil maġhrūr ho gayā hai. Lekin merā mashwarā hai ki āp apne ghar meṅ rah kar fatah meṅ hāsil huī shohrat kā mazā lene par iktifā kareṅ. Āp aisī musībat ko kyoṅ dāwat dete haiṅ jo āp aur Yahūdāh kī tabāhī kā bāis ban jāe?”
11 Lekin Amasiyāh mānane ke lie taiyār nahīṅ thā, is lie Yahuās apnī fauj le kar Yahūdāh par chaṛh āyā. Bait-shams ke pās us kā Yahūdāh ke bādshāh ke sāth muqābalā huā. 12 Isrāīl kī fauj ne Yahūdāh kī fauj ko shikast dī, aur har ek apne apne ghar bhāg gayā. 13 Isrāīl ke bādshāh Yahuās ne Yahūdāh ke bādshāh Amasiyāh bin Yuās bin Aḳhaziyāh ko wahīṅ Bait-shams meṅ giriftār kar liyā. Phir wuh Yarūshalam gayā aur shahr kī fasīl Ifrāīm nāmī darwāze se Kone ke Darwāze tak girā dī. Is hisse kī lambāī taqrīban 600 fuṭ thī. 14 Jitnā bhī sonā, chāṅdī aur qīmtī sāmān Rab ke ghar aur shāhī mahal ke ḳhazānoṅ meṅ thā use us ne pūre kā pūrā chhīn liyā. Lūṭā huā māl aur bāz yarġhamāloṅ ko le kar wuh Sāmariya wāpas chalā gayā.
Isrāīl ke Bādshāh Yahuās kī Maut
15 Bāqī jo kuchh Yahuās kī hukūmat ke daurān huā, jo kuchh us ne kiyā aur jo kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅ wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj haiṅ. Us meṅ us kī Yahūdāh ke bādshāh Amasiyāh ke sāth jang kā zikr bhī hai. 16 Jab Yahuās mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Sāmariya meṅ Isrāīl ke bādshāhoṅ kī qabr meṅ dafnāyā gayā. Phir us kā beṭā Yarubiyām Duwum taḳhtnashīn huā.
Yahūdāh ke Bādshāh Amasiyāh kī Maut
17 Isrāīl ke bādshāh Yahuās bin Yahuāḳhaz kī maut ke bād Yahūdāh kā bādshāh Amasiyāh bin Yuās mazīd 15 sāl jītā rahā. 18 Bāqī jo kuchh Amasiyāh kī hukūmat ke daurān huā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. 19 Ek din log Yarūshalam meṅ us ke ḳhilāf sāzish karne lage. Āḳhirkār us ne farār ho kar Lakīs meṅ panāh lī, lekin sāzish karne wāloṅ ne apne logoṅ ko us ke pīchhe bhejā, aur wuh wahāṅ use qatl karne meṅ kāmyāb ho gae. 20 Us kī lāsh ghoṛe par uṭhā kar Yarūshalam lāī gaī jahāṅ use shahr ke us hisse meṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai ḳhāndānī qabr meṅ dafnāyā gayā.
21 Yahūdāh ke tamām logoṅ ne Amasiyāh ke beṭe Uzziyāh *Yahāṅ kaī jaghoṅ par Ibrānī meṅ Uzziyāh kā dūsrā nām Azariyāh mustāmal hai. ko bāp ke taḳht par biṭhā diyā. Us kī umr 16 sāl thī 22 jab us kā bāp mar kar apne bāpdādā se jā milā. Bādshāh banane ke bād Uzziyāh ne Ailāt Shahr par qabzā karke use dubārā Yahūdāh kā hissā banā liyā. Us ne shahr meṅ bahut tāmīrī kām karwāyā.
Isrāīl kā Bādshāh Yarubiyām Duwum
23 Yahūdāh ke bādshāh Amasiyāh bin Yuās ke 15weṅ sāl meṅ Yarubiyām bin Yahuās Isrāīl kā bādshāh banā. Us kī hukūmat kā daurāniyā 41 sāl thā, aur us kā dārul-hukūmat Sāmariya rahā. 24 Us kā chāl-chalan Rab ko nāpasand thā. Wuh un gunāhoṅ se bāz na āyā jo karne par Nabāt ke beṭe Yarubiyām Awwal ne Isrāīl ko uksāyā thā. 25 Yarubiyām Duwum Labo-hamāt se le kar Bahīrā-e-Murdār tak un tamām ilāqoṅ par dubārā qabzā kar sakā jo pahle Isrāīl ke the. Yoṅ wuh wādā pūrā huā jo Rab Isrāīl ke Ḳhudā ne apne ḳhādim Jāt-hifar ke rahne wāle nabī Yūnus bin Amittī kī mārifat kiyā thā. 26 Kyoṅki Rab ne Isrāīl kī nihāyat burī hālat par dhyān diyā thā. Use mālūm thā ki chhoṭe baṛe sab halāk hone wāle haiṅ aur ki unheṅ chhuṛāne wālā koī nahīṅ hai. 27 Rab ne kabhī nahīṅ kahā thā ki maiṅ Isrāīl qaum kā nām-o-nishān miṭā dūṅgā, is lie us ne unheṅ Yarubiyām bin Yahuās ke wasīle se najāt dilāī.
28 Bāqī jo kuchh Yarubiyām Duwum kī hukūmat ke daurān huā, jo kuchh us ne kiyā aur jo jangī kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅ un kā zikr ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ huā hai. Us meṅ yih bhī bayān kiyā gayā hai ki us ne kis tarah Damishq aur Hamāt par dubārā qabzā kar liyā. 29 Jab Yarubiyām mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Sāmariya meṅ bādshāhoṅ kī qabr meṅ dafnāyā gayā. Phir us kā beṭā Zakariyāh taḳhtnashīn huā.