51
Rab Apnī Qaum ko Tasallī Detā Hai
1 “Tum jo rāstī ke pīchhe lage rahte, jo Rab ke tālib ho, merī bāt suno! Us chaṭṭān par dhyān do jis meṅ se tumheṅ tarāsh kar nikālā gayā hai, us kān par ġhaur karo jis meṅ se tumheṅ khodā gayā hai. 2 Yānī apne bāp Ibrāhīm aur apnī māṅ Sārā par tawajjuh do, jis ne dard-e-zah kī taklīf uṭhā kar tumheṅ janm diyā. Ibrāhīm beaulād thā jab maiṅ ne use bulāyā, lekin phir maiṅ ne use barkat de kar bahut aulād baḳhshī.”
3 Yaqīnan Rab Siyyūn ko tasallī degā. Wuh us ke tamām khanḍarāt ko tashaffī de kar us ke registān ko Bāġh-e-Adan meṅ aur us kī banjar zamīn ko Rab ke bāġh meṅ badal degā. Tab us meṅ ḳhushī-o-shādmānī pāī jāegī, har taraf shukrguzārī aur gītoṅ kī āwāzeṅ sunāī deṅgī.
4 “Ai merī qaum, mujh par dhyān de! Ai merī ummat, mujh par ġhaur kar! Kyoṅki hidāyat mujh se sādir hogī, aur merā insāf qaumoṅ kī raushnī banegā. 5 Merī rāstī qarīb hī hai, merī najāt rāste meṅ hai, aur merā zorāwar bāzū qaumoṅ meṅ insāf qāym karegā. Jazīre mujh se ummīd rakheṅge, wuh merī qudrat deḳhne ke intazār meṅ raheṅge. 6 Apnī āṅkheṅ āsmān kī taraf uṭhāo! Nīche zamīn par nazar ḍālo! Āsmān dhueṅ kī tarah bikhar jāegā, zamīn purāne kapṛe kī tarah ghise-phaṭegī aur us ke bāshinde machchharoṅ kī tarah mar jāeṅge. Lekin merī najāt abad tak qāym rahegī, aur merī rāstī kabhī ḳhatm nahīṅ hogī.
7 Ai sahīh rāh ko jānane wālo, ai qaum jis ke dil meṅ merī sharīat hai, merī bāt suno! Jab log tumhārī be'izzatī karte haiṅ to un se mat ḍarnā, jab wuh tumheṅ gāliyāṅ dete haiṅ to mat ghabrānā. 8 Kyoṅki kirm unheṅ kapṛe kī tarah khā jāegā, kīṛā unheṅ ūn kī tarah hazm karegā. Lekin merī rāstī abad tak qāym rahegī, merī najāt pusht-dar-pusht barqarār rahegī.”
Rab kī Rihāī
9 Ai Rab ke bāzū, uṭh. Jāg uṭh aur quwwat kā jāmā pahan le! Yoṅ amal meṅ ā jis tarah qadīm zamāne meṅ āyā thā, jab tū ne muta'addid nasloṅ pahle Rahab ko ṭukṛe ṭukṛe kar diyā, samundarī azhdahe ko chhed ḍālā. 10 Kyoṅki tū hī ne samundar ko ḳhushk kiyā, tū hī ne gahrāiyoṅ kī tah par rāstā banāyā tāki wuh jinheṅ tū ne ewazānā de kar chhuṛāyā thā us meṅ se guzar sakeṅ.
11 Jinheṅ Rab ne fidyā de kar chhuṛāyā hai wuh wāpas āeṅge. Wuh shādiyānā bajā kar Siyyūn meṅ dāḳhil hoṅge, aur har ek kā sar abadī ḳhushī ke tāj se ārāstā hogā. Kyoṅki ḳhushī aur shādmānī un par ġhālib ā kar tamām ġham aur āh-o-zārī bhagā degī.
12 “Maiṅ, sirf maiṅ hī tujhe tasallī detā hūṅ. To phir tū fānī insān se kyoṅ ḍartī hai, jo ghās kī tarah murjhā kar ḳhatm ho jātā hai? 13 Tū Rab apne Ḳhāliq ko kyoṅ bhūl gaī hai, jis ne āsmān ko ḳhaime kī tarah tān liyā aur zamīn kī buniyād rakhī? Jab zālim tujhe tabāh karne par tulā rahtā hai to tū us ke taish se pūre din kyoṅ ḳhauf khātī rahtī hai? Ab us kā taish kahāṅ rahā? 14 Jo zanjīroṅ meṅ jakaṛā huā hai wuh jald hī āzād ho jāegā. Na wuh mar kar qabr meṅ utregā, na roṭī se mahrūm rahegā. 15 Kyoṅki maiṅ Rab terā Ḳhudā hūṅ jo samundar ko yoṅ harkat meṅ lātā hai ki wuh mutalātim ho kar garajne lagtā hai. Rabbul-afwāj merā nām hai. 16 Maiṅ ne apne alfāz tere muṅh meṅ ḍāl kar tujhe apne hāth ke sāye meṅ chhupāe rakhā hai tāki nae sire se āsmān ko tānūṅ, zamīn kī buniyādeṅ rakhūṅ aur Siyyūn ko batāūṅ, ‘Tū merī qaum hai.’ ”
Ai Yarūshalam, Jāg Uṭh!
17 Ai Yarūshalam, uṭh. Jāg uṭh. Ai shahr jis ne Rab ke hāth se us kā ġhazab bharā pyālā pī liyā hai, khaṛī ho jā! Ab tū ne laṛkhaṛā dene wāle pyāle ko āḳhirī qatre tak chāṭ liyā hai. 18 Jitne bhī beṭe tū ne janm die un meṅ se ek bhī nahīṅ rahā jo terī rāhnumāī kare. Jitne bhī beṭe tū ne pāle un meṅ se ek bhī nahīṅ jo terā hāth pakaṛ kar tere sāth chale. 19 Tujh par do āfateṅ āīṅ yānī barbādī-o-tabāhī, kāl aur talwār. Lekin kis ne hamdardī kā izhār kiyā? Kis ne tujhe tasallī dī? 20 Tere beṭe ġhash khā kar gir gae haiṅ. Har galī meṅ wuh jāl meṅ phaṅse hue ġhazāl *ġhazāl-e-Afrīqā, oryx kī tarah zamīn par taṛap rahe haiṅ. Kyoṅki Rab kā ġhazab un par nāzil huā hai, wuh ilāhī ḍānṭ-ḍapaṭ kā nishānā ban gae haiṅ.
21 Chunāṅche merī bāt sun, ai musībatzadā qaum, ai nashe meṅ matwālī ummat, go tū mai ke asar se nahīṅ ḍagmagā rahī. 22 Rab terā āqā jo terā Ḳhudā hai aur apnī qaum ke lie laṛtā hai wuh farmātā hai, “Dekh, maiṅ ne tere hāth se wuh pyālā dūr kar diyā jo tere laṛkhaṛāne kā sabab banā. Āindā tū merā ġhazab bharā pyālā nahīṅ piegī. 23 Ab maiṅ ise un ko pakaṛā dūṅgā jinhoṅ ne tujhe aziyat pahuṅchāī hai, jinhoṅ ne tujh se kahā, ‘Aundhe muṅh jhuk jā tāki ham tujh par se guzareṅ.’ Us waqt terī pīṭh ḳhāk meṅ dhaṅs kar dūsroṅ ke lie rāstā ban gaī thī.”