2
Rab kā Ġhazab Yarūshalam par Nāzil Huā Hai
Hāy, Rab kā qahr kāle bādaloṅ kī tarah Siyyūn Beṭī par chhā gayā hai! Isrāīl kī jo shān-o-shaukat pahle āsmān kī tarah buland thī use Allāh ne ḳhāk meṅ milā diyā hai. Jab us kā ġhazab nāzil huā to us ne apne ghar kā bhī ḳhayāl na kiyā, go wuh us ke pāṅwoṅ kī chaukī hai.
Rab ne berahmī se Yāqūb kī ābādiyoṅ ko miṭā ḍālā, qahr meṅ Yahūdāh Beṭī ke qiloṅ ko ḍhā diyā. Us ne Yahūdāh kī saltanat aur buzurgoṅ ko ḳhāk meṅ milā kar un kī behurmatī kī hai.
Ġhazabnāk ho kar us ne Isrāīl kī pūrī tāqat ḳhatm kar dī. Phir jab dushman qarīb āyā to us ne apne dahne hāth ko Isrāīl kī madad karne se rok liyā. Na sirf yih balki wuh sholāzan āg ban gayā jis ne Yāqūb meṅ chāroṅ taraf phail kar sab kuchh bhasm kar diyā.
Apnī kamān ko tān kar wuh apne dahne hāth se tīr chalāne ke lie uṭhā. Dushman kī tarah us ne sab kuchh jo manmohan thā maut ke ghāṭ utārā. Siyyūn Beṭī kā ḳhaimā us ke qahr ke bhaṛakte koeloṅ se bhar gayā.
 
Rab ne Isrāīl kā dushman-sā ban kar mulk ko us ke mahaloṅ aur qiloṅ samet tabāh kar diyā hai. Usī ke hāthoṅ Yahūdāh Beṭī kī āh-o-zārī meṅ izāfā hotā gayā.
Us ne apnī sukūnatgāh ko bāġh kī jhoṅpṛī kī tarah girā diyā, usī maqām ko barbād kar diyā jahāṅ qaum us se milne ke lie jamā hotī thī. Rab ke hāthoṅ yoṅ huā ki ab Siyyūn kī īdoṅ aur Sabatoṅ kī yād hī nahīṅ rahī. Us ke shadīd qahr ne bādshāh aur imām donoṅ ko radd kar diyā hai.
Apnī qurbāngāh aur maqdis ko mustarad karke Rab ne Yarūshalam ke mahaloṅ kī dīwāreṅ dushman ke hawāle kar dīṅ. Tab Rab ke ghar meṅ bhī īd ke din kā-sā shor mach gayā.
Rab ne faislā kiyā ki Siyyūn Beṭī kī fasīl ko girā diyā jāe. Us ne fīte se dīwāroṅ ko nāp nāp kar apne hāth ko na rokā jab tak sab kuchh tabāh na ho gayā. Tab qilābandī ke pushte aur fasīl mātam karte karte zāe ho gae.
Shahr ke darwāze zamīn meṅ dhaṅs gae. Un ke kunḍe ṭūṭ kar bekār ho gae. Yarūshalam ke bādshāh aur rāhnumā dīgar aqwām meṅ jilāwatan ho gae haiṅ. Ab na sharīat rahī, na Siyyūn ke nabiyoṅ ko Rab kī royā miltī hai.
10 Siyyūn Beṭī ke buzurg ḳhāmoshī se zamīn par baiṭh gae haiṅ. Ṭāṭ ke libās oṛh kar unhoṅ ne apne saroṅ par ḳhāk ḍāl lī hai. Yarūshalam kī kuṅwāriyāṅ bhī apne saroṅ ko jhukāe baiṭhī haiṅ.
 
11 Merī āṅkheṅ ro ro kar thak gaī haiṅ, shadīd dard ne mere dil ko behāl kar diyā hai. Kyoṅki merī qaum nest ho gaī hai. Shahr ke chaukoṅ meṅ bachche pazhmurdā hālat meṅ phir rahe haiṅ, shīrḳhār bachche ġhash khā rahe haiṅ. Yih dekh kar merā kalejā phaṭ rahā hai.
12 Apnī māṅ se wuh pūchhte haiṅ, “Roṭī aur mai kahāṅ hai?” Lekin befāydā. Wuh maut ke ghāṭ utarne wāle zaḳhmī ādmiyoṅ kī tarah chaukoṅ meṅ bhūke mar rahe haiṅ, un kī jān māṅ kī god meṅ hī nikal rahī hai.
 
13 Ai Yarūshalam Beṭī, maiṅ kis se terā muwāzanā karke terī hauslā-afzāī karūṅ? Ai kuṅwārī Siyyūn Beṭī, maiṅ kis se terā muqābalā karke tujhe tasallī dūṅ? Kyoṅki tujhe samundar jaisā wasī nuqsān pahuṅchā hai. Kaun tujhe shafā de saktā hai?
14 Tere nabiyoṅ ne tujhe jhūṭī aur bekār royāeṅ pesh kīṅ. Unhoṅ ne terā qusūr tujh par zāhir na kiyā, hālāṅki unheṅ karnā chāhie thā tāki tū is sazā se bach jātī. Is ke bajāe unhoṅ ne tujhe jhūṭ aur farebdeh paiġhāmāt sunāe.
15 Ab tere pās se guzarne wāle tālī bajā kar āwāze kaste haiṅ. Yarūshalam Beṭī ko dekh kar wuh sar hilāte hue taubā taubā kahte haiṅ, “Kyā yih wuh shahr hai jo ‘Takmīl-e-Husn’ aur ‘Tamām Duniyā kī Ḳhushī’ kahlātā thā?”
16 Tere tamām dushman muṅh pasār kar tere ḳhilāf bāteṅ karte haiṅ. Wuh āwāze kaste aur dāṅt pīste hue kahte haiṅ, “Ham ne use haṛap kar liyā hai. Lo, wuh din ā gayā hai jis ke intazār meṅ ham rahe. Āḳhirkār wuh pahuṅch gayā, āḳhirkār ham ne apnī āṅkhoṅ se use dekh liyā hai.”
17 Ab Rab ne apnī marzī pūrī kī hai. Ab us ne sab kuchh pūrā kiyā hai jo baṛī der se farmātā āyā hai. Berahmī se us ne tujhe ḳhāk meṅ milā diyā. Usī ne hone diyā ki dushman tujh par shādiyānā bajātā, ki tere muḳhālifoṅ kī tāqat tujh par ġhālib ā gaī hai.
 
18 Logoṅ ke dil Rab ko pukārte haiṅ. Ai Siyyūn Beṭī kī fasīl, tere āṅsū din rāt bahte bahte nadī ban jāeṅ. Na is se bāz ā, na apnī āṅkhoṅ ko rone se rukne de!
19 Uṭh, rāt ke har pahar kī ibtidā meṅ āh-o-zārī kar! Apne dil kī har bāt pānī kī tarah Rab ke huzūr unḍel de. Apne hāthoṅ ko us kī taraf uṭhā kar apne bachchoṅ kī jānoṅ ke lie iltijā kar jo is waqt galī galī meṅ bhūke mar rahe haiṅ.
 
20 Ai Rab, dhyān se dekh ki tū ne kis se aisā sulūk kiyā hai. Kyā yih aurateṅ apne peṭ kā phal, apne lāḍle bachchoṅ ko khāeṅ? Kyā Rab ke maqdis meṅ hī imām aur nabī ko mār ḍālā jāe?
21 Laṛkoṅ aur buzurgoṅ kī lāsheṅ mil kar galiyoṅ meṅ paṛī haiṅ. Mere jawān laṛke-laṛkiyāṅ talwār kī zad meṅ ā kar gir gae haiṅ. Jab terā ġhazab nāzil huā to tū ne unheṅ mār ḍālā, berahmī se unheṅ maut ke ghāṭ utār diyā.
22 Jin se maiṅ dahshat khātā thā unheṅ tū ne bulāyā. Jis tarah baṛī īdoṅ ke mauqe par hujūm shahr meṅ jamā hote haiṅ usī tarah dushman chāroṅ taraf se mujh par ṭūṭ paṛe. Jab Rab kā ġhazab nāzil huā to na koī bachā, na koī bāqī rah gayā. Jinheṅ maiṅ ne pālā aur jo mere zer-e-nigarānī parwān chaṛhe unheṅ dushman ne halāk kar diyā.