29
1 Jo muta'addid nasīhatoṅ ke bāwujūd haṭdharm rahe wuh achānak hī barbād ho jāegā, aur shafā kā imkān hī nahīṅ hogā.
2 Jab rāstbāz bahut haiṅ to qaum ḳhush hotī, lekin jab bedīn hukūmat kare to qaum āheṅ bhartī hai.
3 Jise hikmat pyārī ho wuh apne bāp ko ḳhushī dilātā hai, lekin kasbiyoṅ kā sāthī apnī daulat uṛā detā hai.
4 Bādshāh insāf se mulk ko mustahkam kartā, lekin had se zyādā ṭaiks lene se use tabāh kartā hai.
5 Jo apne paṛosī kī chāplūsī kare wuh us ke qadmoṅ ke āge jāl bichhātā hai.
6 Sharīr jurm karte waqt apne āp ko phaṅsā detā, lekin rāstbāz ḳhushī manā kar shādmān rahtā hai.
7 Rāstbāz pasthāloṅ ke huqūq kā ḳhayāl rakhtā hai, lekin bedīn parwā hī nahīṅ kartā.
8 Tānāzan shahr meṅ afrā-tafrī machā dete jabki dānishmand ġhussā ṭhanḍā kar dete haiṅ.
9 Jab dānishmand ādmī adālat meṅ ahmaq se laṛe to ahmaq taish meṅ ā jātā yā qahqahā lagātā hai, sukūn kā imkān hī nahīṅ hotā.
10 Ḳhūṅḳhār ādmī be'ilzām shaḳhs se nafrat kartā, lekin sīdhī rāh par chalne wālā us kī behtarī chāhtā hai.
11 Ahmaq apnā pūrā ġhussā utārtā, lekin dānishmand use rok kar qābū meṅ rakhtā hai.
12 Jo hukmrān jhūṭ par dhyān de us ke tamām mulāzim bedīn hoṅge.
13 Jab ġharīb aur zālim kī mulāqāt hotī hai to donoṅ kī āṅkhoṅ ko raushan karne wālā Rab hī hai.
14 Jo bādshāh diyānatdārī se zarūratmand kī adālat kare us kā taḳht hameshā tak qāym rahegā.
15 Chhaṛī aur nasīhat hikmat paidā kartī haiṅ. Jise belagām chhoṛā jāe wuh apnī māṅ ke lie sharmindagī kā bāis hogā.
16 Jab bedīn phaleṅ-phūleṅ to gunāh bhī phaltā-phūltā hai, lekin rāstbāz un kī shikast ke gawāh hoṅge.
17 Apne beṭe kī tarbiyat kar to wuh tujhe sukūn aur ḳhushī dilāegā.
18 Jahāṅ royā nahīṅ wahāṅ qaum belagām ho jātī hai, lekin mubārak hai wuh jo sharīat ke tābe rahtā hai.
19 Naukar sirf alfāz se nahīṅ sudhartā. Agar wuh bāt samjhe bhī to bhī dhyān nahīṅ degā.
20 Kyā koī dikhāī detā hai jo bāt karne meṅ jaldbāz hai? Us kī nisbat ahmaq ke sudharne kī zyādā ummīd hai.
21 Jo ġhulām jawānī se nāz-o-nemat meṅ pal kar bigaṛ jāe us kā burā anjām hogā.
22 Ġhazabālūd ādmī jhagaṛe chheṛtā rahtā hai, ġhusīle shaḳhs se muta'addid gunāh sarzad hote haiṅ.
23 Takabbur apne mālik ko past kar degā jabki farotan shaḳhs izzat pāegā.
24 Jo chor kā sāthī ho wuh apnī jān se nafrat rakhtā hai. Go us se halaf uṭhāyā jāe ki chorī ke bāre meṅ gawāhī de to bhī kuchh nahīṅ batātā balki halaf kī lānat kī zad meṅ ā jātā hai.
25 Jo insān se ḳhauf khāe wuh phande meṅ phaṅs jāegā, lekin jo Rab kā ḳhauf māne wuh mahfūz rahegā.
26 Bahut log hukmrān kī manzūrī ke tālib rahte haiṅ, lekin insāf Rab hī kī taraf se miltā hai.
27 Rāstbāz badkār se aur bedīn sīdhī rāh par chalne wāle se ghin khātā hai.