7
Tum Merī Sunane se Inkār Karte Ho
1 Dārā Bādshāh kī hukūmat ke chauthe sāl meṅ Rab Zakariyāh se hamkalām huā. Kislew yānī naweṅ mahīne kā chauthā din *4 Disambar. thā. 2 Us waqt Baitel Shahr ne Sarāzar aur Rajam-malik ko us ke ādmiyoṅ samet Yarūshalam bhejā thā tāki Rab se iltamās kareṅ. 3 Sāth sāth unheṅ Rabbul-afwāj ke ghar ke imāmoṅ ko yih sawāl pesh karnā thā, “Ab ham kaī sāl se pāṅchweṅ mahīne meṅ rozā rakh kar Rab ke ghar kī tabāhī par mātam karte āe haiṅ. Kyā lāzim hai ki ham yih dastūr āindā bhī jārī rakheṅ?”
4 Tab mujhe Rabbul-afwāj se jawāb milā, 5 “Mulk ke tamām bāshindoṅ aur imāmoṅ se kah, ‘Beshak tum 70 sāl se pāṅchweṅ aur sātweṅ mahīne meṅ rozā rakh kar mātam karte āe ho. Lekin kyā tum ne yih dastūr wāqaī merī ḳhātir adā kiyā? Hargiz nahīṅ! 6 Īdoṅ par bhī tum khāte-pīte waqt sirf apnī hī ḳhātir ḳhushī manāte ho. 7 Yih wuhī bāt hai jo maiṅ ne māzī meṅ bhī nabiyoṅ kī mārifat tumheṅ batāī, us waqt jab Yarūshalam meṅ ābādī aur sukūn thā, jab gird-o-nawāh ke shahr Dasht-e-Najab aur maġhrib ke nashebī pahāṛī ilāqe tak ābād the.’ ”
8 Is nāte se Zakariyāh par Rab kā ek aur kalām nāzil huā, 9 “Rabbul-afwāj farmātā hai, ‘Adālat meṅ munsifānā faisle karo, ek dūsre par mehrbānī aur rahm karo! 10 Bewāoṅ, yatīmoṅ, ajnabiyoṅ aur ġharīboṅ par zulm mat karnā. Apne dil meṅ ek dūsre ke ḳhilāf bure mansūbe na bāndho.’ 11 Jab tumhāre bāpdādā ne yih kuchh sunā to wuh is par dhyān dene ke lie taiyār nahīṅ the balki akaṛ gae. Unhoṅ ne apnā muṅh dūsrī taraf pher kar apne kānoṅ ko band kie rakhā. 12 Unhoṅ ne apne diloṅ ko hīre kī tarah saḳht kar liyā tāki sharīat aur wuh bāteṅ un par asarandāz na ho sakeṅ jo Rabbul-afwāj ne apne Rūh ke wasīle se guzashtā nabiyoṅ ko batāne ko kahā thā. Tab Rabbul-afwāj kā shadīd ġhazab un par nāzil huā. 13 Wuh farmātā hai, ‘Chūṅki unhoṅ ne merī na sunī is lie maiṅ ne faislā kiyā ki jab wuh madad ke lie mujh se iltijā kareṅ to maiṅ bhī un kī nahīṅ sunūṅgā. 14 Maiṅ ne unheṅ āṅdhī se uṛā kar tamām dīgar aqwām meṅ muntashir kar diyā, aisī qaumoṅ meṅ jin se wuh nāwāqif the. Un ke jāne par watan itnā wīrān-o-sunsān huā ki koī na rahā jo us meṅ āe yā wahāṅ se jāe. Yoṅ unhoṅ ne us ḳhushgawār mulk ko tabāh kar diyā.’ ”